sarmaa
merii jaan ThiThur rahii hai
ho.nT niile pa.D ga.e hai.n
aur aatmaa ko pairo.n se kapkapii cha.Dh rahii hai
barso.n baadal garajte hai.n is umr ke aasmaan par
qaanuun mere aa.ngan me.n barf ke Tuk.Do.n kii tarah gir rahe hai.n
galiyo.n kii kiicha.D alaa.ng kar gar aaj tuu aa jaa.e
mai.n tere pair dho.uu.n
paikar teraa suuraj saa hai
kambal kaa konaa uThaa kar
haDDiyo.n ko garmaa luu.n
ek kaTorii dhuup kii
mai.n ek hii saa.ns me.n p luu.n
aur ek Tuk.Daa dhuup kaa
mai.n apnii kokh me.n Daal luu.n
phir shaayad mere janm kaa ye mausam-e-sarmaa guzar jaa.egaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.