Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

vaaris shaah

Translated By: Fahmida Riaz

Amrita Pritam

Amrita Pritam

vaaris shaah

Amrita Pritam

MORE BYAmrita Pritam

    aaj vaaris shaah se kahtii huu.n apnii qabr me.n se bolo

    aur 'ishq kii kitaab kaa ko.ii nayaa varqa kholo

    panjaab kii ek beTii ro.ii thii tuu ne us kii lambii daastaan likhii

    aaj laakho.n beTiyaa.n ro rahii hai.n vaaris shaah

    tum se kah rahii hai.n

    ai dard-mando.n ke dost panjaab kii haalat dekho

    chaupaal laasho.n se aTaa pa.Daa hai chanaab lahuu se bhar gayaa hai

    kisii ne paa.ncho.n dariyaa.o.n me.n zahr milaa diyaa hai

    aur yahii paanii dhartii ko sii.nchne lagaa hai

    jahaa.n pyaar ke naGme guu.njte the vo baa.nsurii jaane kahaa.n kho ga.ii

    aur raa.njhe ke sab bhaa.ii baa.nsurii bajaanaa bhuul ga.e

    vaaris shaah mai.n tum se kahtii huu.n apnii qabr se uTho

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now