bikharte katbe
(avval)
rag-o-pai me.n jak.De hu.e jism ke us taraf
jis jagah aasmaano.n kii had se pare
KHvaab hii KHvaab ho.n
zehn jo naa-rasaa hai
jahaa.n dil kii duniyaa.o.n kaa raasta hai
kitnii taariikiyo.n me.n hame.n
aaftaabo.n kaa ko.ii gumaa.n tak nahii.n hai
mire jism ke post aur haDDiyo.n
se vare
ek pal hai ki jo
aasmaano.n kii jaanib ga.e raasto.n
ko milaataa hai
(do.am)
muqayyad hu.e hai.n
ham ik aisii chaa.ndnii kii zanjiir me.n
jaise jismo.n me.n phailii rage.n
aasmaa.n aur zamii.n
kitne betaab hai.n
aa.e.n ik duusre se mile.n
aasmaano.n se nikle hai.n ham der se
aa.e.n phir ghar chale.n
(som)
haDDiyaa.n kab se paivast hai.n gosht me.n
aur phir us ghane jaal se ye nikal aa.e.ngii
aasmaano.n se niiche utar kar faqat
rizq Dhuu.nDaa kiye tum
magar KHaak-o-KHuu.n
har taraf hai
(chahaarum)
zehn kii gutthiyo.n me.n ulajhtaa hu.aa
meraa qalb-e-tapaa.n
raat ke Gaar me.n suurajo.n kaa gumaa.n
aasmaano.n bahishto.n kii soche.n
miraa jism patto.n me.n bikhraa hu.aa
Gam kii andhii guphaa me.n
bahut der se mai.n pa.Daa huu.n
kahaa.n jaa.uu.n
rahbar huu.n mai.n
yaa ko.ii kaarvaa.n huu.n
(panjum)
Gam kii andhii guphaa me.n
saraa.e me.n bistar pe tanhaa
ga.e daur ke marqado.n me.n
kahaa.n jism hai.n
chand katbe hai.n bikhre hu.e
vaqt kab aa.egaa
jism aazaad hogaa
(avval)
rag-o-pai me.n jak.De hu.e jism ke us taraf
jis jagah aasmaano.n kii had se pare
KHvaab hii KHvaab ho.n
zehn jo naa-rasaa hai
jahaa.n dil kii duniyaa.o.n kaa raasta hai
kitnii taariikiyo.n me.n hame.n
aaftaabo.n kaa ko.ii gumaa.n tak nahii.n hai
mire jism ke post aur haDDiyo.n
se vare
ek pal hai ki jo
aasmaano.n kii jaanib ga.e raasto.n
ko milaataa hai
(do.am)
muqayyad hu.e hai.n
ham ik aisii chaa.ndnii kii zanjiir me.n
jaise jismo.n me.n phailii rage.n
aasmaa.n aur zamii.n
kitne betaab hai.n
aa.e.n ik duusre se mile.n
aasmaano.n se nikle hai.n ham der se
aa.e.n phir ghar chale.n
(som)
haDDiyaa.n kab se paivast hai.n gosht me.n
aur phir us ghane jaal se ye nikal aa.e.ngii
aasmaano.n se niiche utar kar faqat
rizq Dhuu.nDaa kiye tum
magar KHaak-o-KHuu.n
har taraf hai
(chahaarum)
zehn kii gutthiyo.n me.n ulajhtaa hu.aa
meraa qalb-e-tapaa.n
raat ke Gaar me.n suurajo.n kaa gumaa.n
aasmaano.n bahishto.n kii soche.n
miraa jism patto.n me.n bikhraa hu.aa
Gam kii andhii guphaa me.n
bahut der se mai.n pa.Daa huu.n
kahaa.n jaa.uu.n
rahbar huu.n mai.n
yaa ko.ii kaarvaa.n huu.n
(panjum)
Gam kii andhii guphaa me.n
saraa.e me.n bistar pe tanhaa
ga.e daur ke marqado.n me.n
kahaa.n jism hai.n
chand katbe hai.n bikhre hu.e
vaqt kab aa.egaa
jism aazaad hogaa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.