dariyaa ajnabii hai
dariyaa ajnabii hai us ne kahaa
vo apnii gaa.ikii se milne chalii ga.ii
ham ne mohabbat kii zabaan iste'maal nahii.n kii
na hii dariyaa ko raa.egaa.n chaahaa
lekin raat us ke malbuus se buland hu.ii
mere liye ek bilkul anjaanii raat
mai.n ne us ke naam par peshkash kii
apne KHuun kii peshkash
taaki kuchh der aur rahuu.n us ke qadmo.n me.n
kuchh der aur us kii isii gaa.ikii me.n
dariyaa ajnabii hai us ne kahaa
vo apnii gaa.ikii se milne chalii ga.ii
ham ne mohabbat kii zabaan iste'maal nahii.n kii
na hii dariyaa ko raa.egaa.n chaahaa
lekin raat us ke malbuus se buland hu.ii
mere liye ek bilkul anjaanii raat
mai.n ne us ke naam par peshkash kii
apne KHuun kii peshkash
taaki kuchh der aur rahuu.n us ke qadmo.n me.n
kuchh der aur us kii isii gaa.ikii me.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.