ek taviil nazm se iqtibaas
aadmii mahaz un aa.nto.n kaa naam nahii.n jo anaaj hazm kartii hai.n
aadmii apnii himmat-o-salaahiyat se
fitrat aur apnii haivaaniyat par fat.h paataa hai
aadmii kaa safar jaarii hai
a.ndhere se raushnii kii jaanib
aadmii aazaadii kii samt jaa rahaa hai
duniyaa kii taaqat raushnii aur aazaadii hai
aur shaa.erii duniyaa kaa dil hai
vo ehsaasaat ko gahraa.iyaa.n
aur jazbaat ko vus.ate.n detii hai
KHuun me.n se khile hamdardii ke phuulo.n par lalchaatii hai
vo nasKH kartii hai
buzurgo.n kii Galatiyo.n kii kartuuto.n kii KHaamiyo.n kii
zavaal kii fat.h kii aur zulm kii taariiKH
mai.n nazm likhne ke liye baiThaa huu.n
jo kabhii mujhe chho.D kar chale ga.e the vo tamaam alfaaz bhii
aaj jhuTpuTe ke parindo.n kii tarah ikaTThe ho ga.e hai.n
mai.n tazabzub me.n mubtalaa huu.n
ta.Dap rahaa huu.n pasiine se tar-ba-tar ho rahaa huu.n
dard-e-zeh mahsuus kar rahaa huu.n
kyaa kyaa likkhuu.n
kis kis tarah se likkhuu.n
kis naam se likkhuu.n
bhuuk ke baare me.n likkhuu.n yaa Gariibii ke baare me.n
ka.ngaalii ke baare me.n likkhuu.n yaa Gulaamii ke baare me.n
zulm ke baare me.n likkhuu.n yaa alam ke baare me.n
tahziib
rasm-o-rivaaj
paa.edaan
devtaa maz.hab aur patthar
un ke naam par unho.n ne hame.n piiTaa hai
rau.ndaa hai aur maar Daalaa hai
hamaarii haDDii aur gosht ko nochaa
hamaare chehro.n ko masKH kar Daalaa hai
unho.n ne hamaare aadamiyo.n ko zinda jalaa diyaa hai
unho.n ne hamaare paak badan daruu.n aur pahaa.Do.n me.n sa.Daa Daale hai.n
unho.nne hame.n hamesha luuTaa hai
hamaare nanhe-munno.n ko qatl karaayaa hai
hamaaraa zinda paakiiza garm aur tez lahuu
jo miTTii ke peT me.n bahaayaa gayaa
lekin miTTii ne hame.n garmaahaT nahii.n dii
gho.nT diye usii ne hamaare gale
ham ne sochaa thaa ki vo hame.n paa legii
ham ne sochaa thaa ki vo hame.n taaqat degii
us kaalii miTTii ne kaalakh kaa sahaaraa le kar
lakiir ke faqiiro.n kii chaahat ke liye hame.n had se baahar kar diyaa
had se baahar kar diyaa grantho.n kii
had se baahar kar diyaa mandiro.n kii
had se baahar kar diyaa daaKHle ke darvaazo.n kii
had se baahar kar diyaa jiite-jaagte insaano.n kii
aur de dii sanad puure maaTh maTko.n ko sa.nbhaalne kii
laash par phaile kafan ko o.Dhne kii
hamaarii daulat laash par se nichhaavar kii ga.ii KHairaat
hamaarii paat lag jaatii thii kutte billiyo.n ke saath juuThan uThaa.ii ke liye
majbuur kiyaa thaa unho.n ne hame.n lauTne ko
mare hu.e Dhor gidh kii tarah
kutte billiyaa.n gidh aur ham aadmii
palte rahe jaanvaro.n ke saath
kyaa aur kaise likhuu.n
jis jangal me.n KHuun kaa paanii bahaa kar
ham ne pe.D paude lagaa.e the
vo sab unho.n ne noch Daale
ham ne sochaa thaa
kisii ne kisii din in pe.Do.n kii ghanii mamtaa-bharii chhaa.nv me.n baiThe.nge
pe.Do.n ke patte patte tak phailte jaa.e.nge
un kii oT me.n se mashriq kii surKH samt phuuTegii
aur hamaare dilo.n kii andherii guphaa.e.n
raushnii se bhar jaa.e.ngii
himmat ba.Dh jaane par hamaare siine tan jaa.e.nge
gardan parcham kii tarah uu.nchii uTh jaa.egii
aur ham aasmaan ko bonaa banaate hu.e
apne pairo.n par kha.De rahe.nge
aur apne haatho.n apnaa mustaqbil kho de.nge
jo satii kaa barat le kar
nuur ke sinduur se bhar jaa.egaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.