gahraa niilaa dariyaa
kis ko maa'luum hai ye kahaa.n hai
hame.n kuchh KHabar hii nahii.n ye kahaa.n hai
magar phir bhii maa'luum hai
ye pahaa.Do.n ke piichhe
ka.ii vaadiyo.n se vare
saat aur aaTh se bhii pare
talKH yaade.n liye
thakte qadmo.n
ga.e din kii
paagal sii yaade.n liye
jhaa.Diyo.n aur daraKHto.n kii chhaa.nv ke us paar
aalaam aur qaht ke Gam-zada din kii maanind
dukhte dilo.n aur tashkiik ke maare zehno.n se ba.Dh kar
dukhii
is zamii.n kii taho.n me.n bahut duur niiche
kabhii aasmaano.n ke us paar
aa.e.n ki dekhe.n
ki murG-e-sahar kii azaa.n
horn bajtaa na ho jis jagah par
junuu.n bhii udaasii bhii
aur zehn kii kaavisho.n se pare
apne KHaaliq se baaGii hu.e
aa.e.n dekhe.n
ki ye gahraa niilaa saa dariyaa
jo gahraa bhii hai
aur chau.Daa bhii hai
ek sau saal chau.Daa hai
gahraa.ii me.n
mausamo.n kii rute.n
jab hazaaro.n kaTe.n
is kii lambaa.ii me.n
kitnii gambhiir gahraa.iyaa.n hai.n
ye gahraa saa niilaa saa dariyaa hai
jis se guzarnaa
hamaare muqaddar me.n likhaa hu.aa hai
kis ko maa'luum hai ye kahaa.n hai
hame.n kuchh KHabar hii nahii.n ye kahaa.n hai
magar phir bhii maa'luum hai
ye pahaa.Do.n ke piichhe
ka.ii vaadiyo.n se vare
saat aur aaTh se bhii pare
talKH yaade.n liye
thakte qadmo.n
ga.e din kii
paagal sii yaade.n liye
jhaa.Diyo.n aur daraKHto.n kii chhaa.nv ke us paar
aalaam aur qaht ke Gam-zada din kii maanind
dukhte dilo.n aur tashkiik ke maare zehno.n se ba.Dh kar
dukhii
is zamii.n kii taho.n me.n bahut duur niiche
kabhii aasmaano.n ke us paar
aa.e.n ki dekhe.n
ki murG-e-sahar kii azaa.n
horn bajtaa na ho jis jagah par
junuu.n bhii udaasii bhii
aur zehn kii kaavisho.n se pare
apne KHaaliq se baaGii hu.e
aa.e.n dekhe.n
ki ye gahraa niilaa saa dariyaa
jo gahraa bhii hai
aur chau.Daa bhii hai
ek sau saal chau.Daa hai
gahraa.ii me.n
mausamo.n kii rute.n
jab hazaaro.n kaTe.n
is kii lambaa.ii me.n
kitnii gambhiir gahraa.iyaa.n hai.n
ye gahraa saa niilaa saa dariyaa hai
jis se guzarnaa
hamaare muqaddar me.n likhaa hu.aa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.