Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gidh

MORE BYMangesh Padgaonkar

    har nukka.D par pur-kashish mauqo.n kii

    tum sajaate ho kaamyaab dukaane.n

    mufaahamat ke taar par chalte hu.e zindagii ko sa.nbhaalte vaqt

    tumhaare be-Gairat qadam Dagmagaate nahii.n

    is chahal-pahal aur bhii.D me.n tumhaarii aa.nkho.n ke us paar tumhaare ifriit

    tumhaare reza-reza vajuud ko uThaa.e phirte hai.n

    'azaabo.n se bharii KHaar-daar tanhaa.ii

    pata hii nahii.n chaltaa tumhe.n ki kab kho ga.e chehre tumhaare

    tum to jiye jaate ho gardan par cha.Dhaa.e hu.e kaamyaabii ke mukhoTo.n ke sahaare

    ek pal bhii aisaa nahii.n jise tum ne boyaa ho

    tum to har pal ke luTere ho dalaal ho

    tumhaare liye kiraa.e ke giit gaa.e jaate hai.n

    tumhaarii KHaatir kiraa.e ke ho.nT sharmaate hai.n

    kaamyaab chaklo.n ke taaqat-var Thekedaaro

    isii tarah jiite ho tum mafaadaat ke moTe moTe gaddo.n par

    saste qism ke tez itr ke tahziibii phaahe kaano.n me.n Thuu.ns kar

    mujhe nazar aa rahe hai.n tum par aa.nkhe.n ga.Daa.e hu.e

    giddho.n ke faaqa-zada jhunD pahaa.Dii ke us paar baiThe ghaat lagaa.e hu.e

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now