Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gum-gashtagii

Rabindranath Tagore

gum-gashtagii

Rabindranath Tagore

MORE BYRabindranath Tagore

    merii chhoTii la.Dkii

    saath khelne vaalo.n kii pukaar sun kar

    sii.Dhii se nichlii manzil kii taraf utar kar jaa rahii thii

    a.ndhere me.n Darte Darte ruk ruk kar

    haath me.n diipak thaa

    aa.nchal se use oT me.n chhupaa.e chal rahii thii bach bach ke

    mai.n thaa chhat par

    taaro.n-bharii chait kii raat thii

    achaanak la.Dkii kaa ronaa sun kar uTh kar

    dekhne ko dau.D gayaa

    sii.Dhiyo.n ke biich jaate jaate

    us kaa diipak havaa se bujh gayaa hai

    mai.n us se puuchhtaa huu.n kyaa hu.aa hai baamii

    vo ro kar niiche se kahtii hai mai.n kho ga.ii huu.n

    chait kii taaro.n-bharii raat me.n

    chhat par palaT aane ke baa'd

    aakaash kii taraf dekh kar aisaa mahsuus hu.aa

    jaise huu-bahuu merii baamii kii tarah ko.ii ek la.Dkii

    niile aasmaan ko aa.nchal se gher kar

    charaaG kii lau ko bachaa.e hu.e akele chal rahii hai dhiire dhiire

    agar diipak bujh jaataa agar achaanak vo ruk jaatii

    to vo aakaash ko apne aap me.n samote hu.e ro uThtii mai.n kho ga.ii huu.n

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now