jab haathii nahaate hai.n
jab haathii nahaate hai.n us vaqt
ham dekhte hai.n sirf
ek chhatrii jaisii siyaah pusht
aur ek ubhrii hu.ii suu.nD
pipe kii tarah
ab machhlii shuruu' kartii hai raqs
us ke qavii-ul-jussa pairo.n ke atraaf
ghaas-phuus
gudgudaatii hai us kii bhiigii khaal ko
apne chiito.n bhe.Diyo.n
aur laark parindo.n ke saath ja.ngalaat
us kii chhoTii chhoTii aa.nkho.n me.n
samaa jaate hai.n
surKH dhuul us kii pusht par chamaktii hai
jaise taa.nbe ke saath sonaa
shaamil ho
gadlaa taalaab bahtaa hai saaf suthraa ho kar
jaise ek ja.nglii aabjuu
jab haathii nahaate hai.n
to hame.n apne tehvaar nihaayat maa'muulii
dikhaa.ii dete hai.n
murassaa ziin pahan kar haathii KHush nahii.n hote
aap dekh sakte hai.n unhe.n
tehvaar ke juluus me.n bhii aa.nsuu bahaate
haathiyo.n aur insaano.n kii taqdiiro.n
kaa maatam karte
jab haathii nahaate hai.n
to un kii suu.nD se guzar kar
mausam-e-garmaa Gaa.eb ho jaataa hai
aur phir aataa hai monsoon
ja.nglii chaa.ndnii guzartii hai
un kii aa.nkho.n se ho kar
taalaab me.n Duube hu.e us ke jism se
paanii gaane lagtaa hai raag hinDol
phuulo.n se pur-bahaar hu.e
jangal kii shadiid KHushbuu
diivaana banaa detii hai insaano.n ko
mohabbat to.Dtii hai apnii zanjiire.n
aazaadii bigul bajaatii hai
aur harf-e-tahajjii uThaataa hai apnii suu.nD
mausam-e-bahaar ko
KHush-aamdiid kahne
jab haathii nahaate hai.n us vaqt
ham dekhte hai.n sirf
ek chhatrii jaisii siyaah pusht
aur ek ubhrii hu.ii suu.nD
pipe kii tarah
ab machhlii shuruu' kartii hai raqs
us ke qavii-ul-jussa pairo.n ke atraaf
ghaas-phuus
gudgudaatii hai us kii bhiigii khaal ko
apne chiito.n bhe.Diyo.n
aur laark parindo.n ke saath ja.ngalaat
us kii chhoTii chhoTii aa.nkho.n me.n
samaa jaate hai.n
surKH dhuul us kii pusht par chamaktii hai
jaise taa.nbe ke saath sonaa
shaamil ho
gadlaa taalaab bahtaa hai saaf suthraa ho kar
jaise ek ja.nglii aabjuu
jab haathii nahaate hai.n
to hame.n apne tehvaar nihaayat maa'muulii
dikhaa.ii dete hai.n
murassaa ziin pahan kar haathii KHush nahii.n hote
aap dekh sakte hai.n unhe.n
tehvaar ke juluus me.n bhii aa.nsuu bahaate
haathiyo.n aur insaano.n kii taqdiiro.n
kaa maatam karte
jab haathii nahaate hai.n
to un kii suu.nD se guzar kar
mausam-e-garmaa Gaa.eb ho jaataa hai
aur phir aataa hai monsoon
ja.nglii chaa.ndnii guzartii hai
un kii aa.nkho.n se ho kar
taalaab me.n Duube hu.e us ke jism se
paanii gaane lagtaa hai raag hinDol
phuulo.n se pur-bahaar hu.e
jangal kii shadiid KHushbuu
diivaana banaa detii hai insaano.n ko
mohabbat to.Dtii hai apnii zanjiire.n
aazaadii bigul bajaatii hai
aur harf-e-tahajjii uThaataa hai apnii suu.nD
mausam-e-bahaar ko
KHush-aamdiid kahne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.