jail
badal gayaa hai mere ghar kaa pataa
mere khaane kaa vaqt
aur tabdiil ho chukii hai tambaakuu kii miqdaar
tabdiil ho chukaa hai mere kap.Do.n kaa rang
meraa chehra aur jild
yahaa.n tak ki vo chaa.nd
jo kabhii mujhe bahut pyaaraa lagtaa thaa
ab vo pahle se kahii.n ba.Daa aur dilkash lagtaa hai
ab zamiin kii mahak hai KHushbuu
aur fitrat kaa zaa.iqa hai miThaas
yuu.n lagtaa hai mai.n apne puraane ghar kii chhat par huu.n
aur ek na.e sitaare ne
KHud ko ja.D liyaa hai merii aa.nkho.n me.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.