KHvaab
mai.n so gayaa thaa
yaa zaraa sii der ke liye palak jhapak ga.ii
tum aa.e aur chale ga.e
jahaa.n-tahaa.n pa.De hai.n chand phuul
jo ataa-pataa kuchh na bataa sake.n
ki vo kahaa.n se aa.e hai.n
sugandh sii fazaa.o.n me.n
rachii-basii hai... (boltii nahii.n)
ye aarzuu hai aur so sakuu.n
... KHvaab kuchh taviil ho
ki phuul khil ke baat kar sake.n
tumhaaraa kuchh ataa-pataa bataa sake.n
hamaare aur tumhaare darmiyaan
mahaktii KHushbuu.o.n ke pul banaa sake.n!
mai.n so gayaa thaa
yaa zaraa sii der ke liye palak jhapak ga.ii
tum aa.e aur chale ga.e
jahaa.n-tahaa.n pa.De hai.n chand phuul
jo ataa-pataa kuchh na bataa sake.n
ki vo kahaa.n se aa.e hai.n
sugandh sii fazaa.o.n me.n
rachii-basii hai... (boltii nahii.n)
ye aarzuu hai aur so sakuu.n
... KHvaab kuchh taviil ho
ki phuul khil ke baat kar sake.n
tumhaaraa kuchh ataa-pataa bataa sake.n
hamaare aur tumhaare darmiyaan
mahaktii KHushbuu.o.n ke pul banaa sake.n!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.