lams-e-ulfat
ai duniyaa
mai.n ne jab tak
tujhe pyaar nahii.n kiyaa thaa
tab tak tumhaare nuur ko
talaash nahii.n kar paayaa thaa
apnii sab kuchh daulat ko
tab tak
saaraa aakaash
haath me.n
apnaa diip liye raasta dekh rahaa thaa
meraa prem giit gaataa hu.aa aayaa
na jaane kyaa sargoshii hu.ii
us ne tumhaare gale me.n Daal dii apne gale kii maalaa
pyaar-bharii nigaaho.n se ha.ns kar
us ne tumhe.n
chhupe taur par jo kuchh diyaa hai tumhaare chhupe dil me.n
vo taaro.n kii maalaa ke biich bahut dino.n tak rahegaa guthaa hu.aa
ai duniyaa
mai.n ne jab tak
tujhe pyaar nahii.n kiyaa thaa
tab tak tumhaare nuur ko
talaash nahii.n kar paayaa thaa
apnii sab kuchh daulat ko
tab tak
saaraa aakaash
haath me.n
apnaa diip liye raasta dekh rahaa thaa
meraa prem giit gaataa hu.aa aayaa
na jaane kyaa sargoshii hu.ii
us ne tumhaare gale me.n Daal dii apne gale kii maalaa
pyaar-bharii nigaaho.n se ha.ns kar
us ne tumhe.n
chhupe taur par jo kuchh diyaa hai tumhaare chhupe dil me.n
vo taaro.n kii maalaa ke biich bahut dino.n tak rahegaa guthaa hu.aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.