mai.n tere darbaar me.n huu.n aayaa
mai.n tere darbaar me.n huu.n aayaa
ki giit gaa.uu.n tire liye mai.n
us ek kone me.n mil ga.ii hai jagah mujhe bhii
ki terii duniyaa me.n
kaam meraa nahii.n hai kuchh aur
ye zindagii merii
jis kaa masraf ko.ii nahii.n hai
agar hai iz.haar is kaa mumkin to bas suro.n me.n
aur is kaa maqsad bhii kuchh nahii.n hai
jo nisf shab ke a.ndhere ma.abad me.n
terii KHaamosh bandagii kii vo saa'at aa.e
to mere aaqaa
ye hukm mujh ko zaruur denaa
ki saamne tere rah ke haazir
mai.n sharaf-e-naGma-saraa.ii paa.uu.n
nasiim-e-saharii kii u.ngliyaa.n jab
sunahrii mizraab par
rasiile suro.n ko chhe.De.n
to mujh ko e'zaaz ye 'ataa ho
ki tere darbaar me.n mai.n aa.uu.n
tire liye mai.n bhii giit gaa.uu.n
mai.n tere darbaar me.n huu.n aayaa
ki giit gaa.uu.n tire liye mai.n
us ek kone me.n mil ga.ii hai jagah mujhe bhii
ki terii duniyaa me.n
kaam meraa nahii.n hai kuchh aur
ye zindagii merii
jis kaa masraf ko.ii nahii.n hai
agar hai iz.haar is kaa mumkin to bas suro.n me.n
aur is kaa maqsad bhii kuchh nahii.n hai
jo nisf shab ke a.ndhere ma.abad me.n
terii KHaamosh bandagii kii vo saa'at aa.e
to mere aaqaa
ye hukm mujh ko zaruur denaa
ki saamne tere rah ke haazir
mai.n sharaf-e-naGma-saraa.ii paa.uu.n
nasiim-e-saharii kii u.ngliyaa.n jab
sunahrii mizraab par
rasiile suro.n ko chhe.De.n
to mujh ko e'zaaz ye 'ataa ho
ki tere darbaar me.n mai.n aa.uu.n
tire liye mai.n bhii giit gaa.uu.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.