paanii
jaanvaro.n me.n bhii paanii baraabar
tuul qaa.em kartaa hai
aa.nchal kii tarah paanii niilaa haraa
baadal aasmaan jangal raushnii
qabze me.n kar letaa hai
paanii duuriyaa.n ba.Dhaataa hai
aa.nkho.n ke paanii se le kar
dil ke paanii tak
aur us paanii se le kar
dil ke paanii tak
aur us paanii se le kar
phir insaanii paanii tak
nasl-dar-nasl paanii kheltaa hai
jhunD kii tarah
KHuun kaa favvaara ubal pa.Dtaa hai
zabardast jharne me.n se
lekin paanii kaa baa-qaa.edaa qaanuun hotaa hai
jaan-daar kii qurbaanii kii tarah
aur paanii kaa jhunD nahii.n kartaa hai
kisii bhii nasl ko KHaarij yaa barbaad
taariiKH me.n se
hamesha ke liye
garmii me.n se aane vaale ko
kabhii paanii mil bhii gayaa to
dene vaale ko Da.nDvat kartaa hai
ya.anii kaisaa hotaa hai ye qaa.eda qaanuun
vo to ek jaan-levaa qism hii hotii hai na
achhuut kii
mere haatho.n me.n hathiyaar nahii.n hai
paanii kii KHaatir mai.n tumhaarii panaah me.n aaya huu.n
maa.n bachche ko pilaatii hai
aur roktii hai us kii jaarehaana quvvat ko
pistaan-zaad
yaas jam jaatii hai
bachcho.n kii aa.nkho.n me.n
mohabbat kaa haq
Daaltaa hai us par
taa-umr parchhaa.ii.n
aur us kii putlii
yaqiin ke saath be-kal banaa dene vaalii
nithaar laane vaalii
qubuul kar letii hai
haq kii baate.n
paanii kii saarii sat.he.n
aur sab kuchh
jaanvaro.n me.n bhii paanii baraabar
tuul qaa.em kartaa hai
aa.nchal kii tarah paanii niilaa haraa
baadal aasmaan jangal raushnii
qabze me.n kar letaa hai
paanii duuriyaa.n ba.Dhaataa hai
aa.nkho.n ke paanii se le kar
dil ke paanii tak
aur us paanii se le kar
dil ke paanii tak
aur us paanii se le kar
phir insaanii paanii tak
nasl-dar-nasl paanii kheltaa hai
jhunD kii tarah
KHuun kaa favvaara ubal pa.Dtaa hai
zabardast jharne me.n se
lekin paanii kaa baa-qaa.edaa qaanuun hotaa hai
jaan-daar kii qurbaanii kii tarah
aur paanii kaa jhunD nahii.n kartaa hai
kisii bhii nasl ko KHaarij yaa barbaad
taariiKH me.n se
hamesha ke liye
garmii me.n se aane vaale ko
kabhii paanii mil bhii gayaa to
dene vaale ko Da.nDvat kartaa hai
ya.anii kaisaa hotaa hai ye qaa.eda qaanuun
vo to ek jaan-levaa qism hii hotii hai na
achhuut kii
mere haatho.n me.n hathiyaar nahii.n hai
paanii kii KHaatir mai.n tumhaarii panaah me.n aaya huu.n
maa.n bachche ko pilaatii hai
aur roktii hai us kii jaarehaana quvvat ko
pistaan-zaad
yaas jam jaatii hai
bachcho.n kii aa.nkho.n me.n
mohabbat kaa haq
Daaltaa hai us par
taa-umr parchhaa.ii.n
aur us kii putlii
yaqiin ke saath be-kal banaa dene vaalii
nithaar laane vaalii
qubuul kar letii hai
haq kii baate.n
paanii kii saarii sat.he.n
aur sab kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.