Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

parinda faqat ek parinda thaa

Farogh Farukh Zaad

parinda faqat ek parinda thaa

Farogh Farukh Zaad

MORE BYFarogh Farukh Zaad

    parinde ne kahaa kyaa dhuup hai mahkaar hai

    aah

    bahaar aa.ii hai

    ab mai.n apne juft kii justujuu me.n jaataa huu.n

    parinda balcony kii kagar se

    u.Daa misaal-e-payaamii

    aur chalaa gayaa

    parinda chhoTaa thaa

    parinda sochtaa na thaa

    parinda aKHbaar na pa.Dhtaa thaa

    parinde par ko.ii qarz na thaa

    parinda insaano.n ko pahchaantaa na thaa

    havaa ke ruKH par parinda

    KHatre ke nishaano.n ke uupar

    apne be-KHabarii kii rif'at me.n u.D rahaa thaa

    aur niile lamho.n kaa

    diivaana-vaar tajraba kar rahaa thaa

    parinda aah faqat ek parinda thaa

    parinde ne kahaa kyaa dhuup hai mahkaar hai

    aah

    bahaar aa.ii hai

    ab mai.n apne juft kii justujuu me.n jaataa huu.n

    parinda balcony kii kagar se

    u.Daa misaal-e-payaamii

    aur chalaa gayaa

    parinda chhoTaa thaa

    parinda sochtaa na thaa

    parinda aKHbaar na pa.Dhtaa thaa

    parinde par ko.ii qarz na thaa

    parinda insaano.n ko pahchaantaa na thaa

    havaa ke ruKH par parinda

    KHatre ke nishaano.n ke uupar

    apne be-KHabarii kii rif'at me.n u.D rahaa thaa

    aur niile lamho.n kaa

    diivaana-vaar tajraba kar rahaa thaa

    parinda aah faqat ek parinda thaa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now