Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raaste

Translated By: Mohammad Hamid

Mak Dizdar

Mak Dizdar

raaste

Mak Dizdar

MORE BYMak Dizdar

    jo bhii raste me.n hai

    sab fanaa kii taraf jaa rahaa hai

    mire Gam-zada aa.nsu.o.n qahqaho.n ko

    amaa.n tak nahii.n hai

    har ik sang raste kaa

    baadal kii maanind u.Dtaa hu.aa jaa rahaa hai

    mirii samt aane kaa ko.ii bhii rasta nahii.n hai

    mujhe Dhuu.nDhnaa itnaa aasaan nahii.n hai

    vahii raaste jo na dushvaar ho.n

    vahii raaste jo ki hamvaar ho.n

    kab nishaa.n meraa batlaa sake.nge

    mire raaste saare viiraan hai.n

    tang-o-dushvaar hai.n

    tumhe.n to faqat aise rasto.n kaa maa'luum hai

    jo nigaaho.n se dil se nikalte hai.n

    lekin ye sab kuchh nahii.n hai

    ka.ii raaste hai.n ki jin par kahii.n duur tak

    jaane pahchaane qadmo.n ke ko.ii nishaa.n tak nahii.n hai.n

    yahaa.n vaqt-e-ruKHsat bataane kii saa'at nahii.n

    mujhe jaan.ne ke liye Dhuu.nDne ke liye

    daa.e.n baa.e.n kii samte.n ko.ii raaste kaa nishaa.n

    kuchh bhii kaafii nahii.n

    yahaa.n ko.ii qutbii sitaara ko.ii baadbaa.n

    kuchh bhii kaafii nahii.n hai

    mai.n kisii samt se bhii na mil paa.uu.ngaa

    mirii chashm-gii.n

    duur u.Dtii havaa.o.n kii zad me.n rahii.n

    zamii.n kii taho.n me.n

    ka.ii duur kii choTiyo.n se

    utartii hu.ii chaa.ndnii kii shu'aa'e.n

    raat siine pe ik bojh hai

    tumhe.n kab KHabar hai ki

    din raat ke chaurahe me.n

    hame.n kis taraf kaise mu.Dnaa hai

    lekin ye sab kuchh nahii.n hai

    tumhe.n kab KHabar hai

    ki ye maa'raka jo ki kab se bapaa hai

    faqat dil ke maidaan me.n hai

    hame.n maa'rke ke hariifo.n kaa

    aur chhoTii jha.Dapo.n kaa andaaza kab hai

    tumhe.n kab KHabar hai

    ki raste mirii samt jo aa rahe hai.n

    vahii hai.n ki

    jo terii jaanib khule hai.n

    miraa saaraa sarmaaya

    aa.nkho.n se terii nihaa.n hai

    tumhe.n kab KHabar hai

    mujhe zindagii ke ka.ii talKH se jaam piine pa.De hai.n

    mirii zindagii tak pahu.nchnaa

    mire raasto.n kaa nishaa.n Dhuu.nDhnaa itnaa aasaa.n nahii.n hai

    zamaan-o-makaa.n kii kisii jihat me.n

    qaid insaa.n ko

    kaise KHabar ho

    yahaa.n kii vahaa.n kii

    zamaan-o-makaa.n se vare

    vaqt ke faaslo.n se bahut duur

    us kal me.n jo Duubte paaniyo.n me.n

    nihaa.n hai

    vo fardaa ki jis ko na jaane

    kisii gard-aaluud mausam se aage bahut duur

    kab jaa ke aanaa hai

    sab kuchh nihaa.n hai

    mujhe jaan.naa itnaa aasaa.n nahii.n hai

    mire uThte qadmo.n kaa ko.ii nishaa.n tak nahii.n hai

    jo bhii raste me.n hai

    sab fanaa kii taraf jaa rahaa hai

    mire Gam-zada aa.nsu.o.n qahqaho.n ko

    amaa.n tak nahii.n hai

    har ik sang raste kaa

    baadal kii maanind u.Dtaa hu.aa jaa rahaa hai

    mirii samt aane kaa ko.ii bhii rasta nahii.n hai

    mujhe Dhuu.nDhnaa itnaa aasaan nahii.n hai

    vahii raaste jo na dushvaar ho.n

    vahii raaste jo ki hamvaar ho.n

    kab nishaa.n meraa batlaa sake.nge

    mire raaste saare viiraan hai.n

    tang-o-dushvaar hai.n

    tumhe.n to faqat aise rasto.n kaa maa'luum hai

    jo nigaaho.n se dil se nikalte hai.n

    lekin ye sab kuchh nahii.n hai

    ka.ii raaste hai.n ki jin par kahii.n duur tak

    jaane pahchaane qadmo.n ke ko.ii nishaa.n tak nahii.n hai.n

    yahaa.n vaqt-e-ruKHsat bataane kii saa'at nahii.n

    mujhe jaan.ne ke liye Dhuu.nDne ke liye

    daa.e.n baa.e.n kii samte.n ko.ii raaste kaa nishaa.n

    kuchh bhii kaafii nahii.n

    yahaa.n ko.ii qutbii sitaara ko.ii baadbaa.n

    kuchh bhii kaafii nahii.n hai

    mai.n kisii samt se bhii na mil paa.uu.ngaa

    mirii chashm-gii.n

    duur u.Dtii havaa.o.n kii zad me.n rahii.n

    zamii.n kii taho.n me.n

    ka.ii duur kii choTiyo.n se

    utartii hu.ii chaa.ndnii kii shu'aa'e.n

    raat siine pe ik bojh hai

    tumhe.n kab KHabar hai ki

    din raat ke chaurahe me.n

    hame.n kis taraf kaise mu.Dnaa hai

    lekin ye sab kuchh nahii.n hai

    tumhe.n kab KHabar hai

    ki ye maa'raka jo ki kab se bapaa hai

    faqat dil ke maidaan me.n hai

    hame.n maa'rke ke hariifo.n kaa

    aur chhoTii jha.Dapo.n kaa andaaza kab hai

    tumhe.n kab KHabar hai

    ki raste mirii samt jo aa rahe hai.n

    vahii hai.n ki

    jo terii jaanib khule hai.n

    miraa saaraa sarmaaya

    aa.nkho.n se terii nihaa.n hai

    tumhe.n kab KHabar hai

    mujhe zindagii ke ka.ii talKH se jaam piine pa.De hai.n

    mirii zindagii tak pahu.nchnaa

    mire raasto.n kaa nishaa.n Dhuu.nDhnaa itnaa aasaa.n nahii.n hai

    zamaan-o-makaa.n kii kisii jihat me.n

    qaid insaa.n ko

    kaise KHabar ho

    yahaa.n kii vahaa.n kii

    zamaan-o-makaa.n se vare

    vaqt ke faaslo.n se bahut duur

    us kal me.n jo Duubte paaniyo.n me.n

    nihaa.n hai

    vo fardaa ki jis ko na jaane

    kisii gard-aaluud mausam se aage bahut duur

    kab jaa ke aanaa hai

    sab kuchh nihaa.n hai

    mujhe jaan.naa itnaa aasaa.n nahii.n hai

    mire uThte qadmo.n kaa ko.ii nishaa.n tak nahii.n hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now