lagaa hii lii hai magar mai.n ne KHushk-saalii me.n
sabiil tere liye ai thake hu.e raahii
talaash-e-aab me.n phirtaa rahaa huu.n aavaara
hu.ii hai tab kahii.n tayyaar ye sabiil mirii
jahaa.n bhii mujh ko dikhaa.ii diyaa ko.ii chashma
jahaa.n bhii aa.nkh ko aa.ii nazar ko.ii naddii
vahii.n se bhar ke mai.n le aaya apnaa mashkiiza
hazaar-rang hai merii sabiil ka paanii
yahii hai merii tamanna ki apne paanii se
bujhaa.uu.n pyaas mai.n is tez dhuup me.n terii
Thahar ke raah me.n merii sabiil ka paanii
mai.n chaahtaa huu.n bas itnaa ki terii pyaas bujhe
ye aarzuu hai ki ho jaa.e terii sairaabii
tire thake hu.e qadmo.n me.n taazgii aa jaa.e
nasiib tujh ko safar ke liye ho taab na.ii
tuu aage ba.Dhte hu.e mujh ko jo du.aa degaa
mirii hayaat ka haasil vahii du.aa hogii
sabiil mai.n ne ye tere liye lagaa.ii hai
sabiil mai.n ne ye sab ke liye lagaa.ii hai
nahii.n hai farq yahaa.n zaat aur maz.hab ka

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.