shaa'ir kaa KHitaab shaa'irii se
jab mai.n ne tum se kuchh kahne ke liye kahaa
tum gaane lagii.n
jab gaane ke liye kahaa
tum chup rahii.n
jab mai.n ne mu.nh band rakhne ke liye kahaa
tum chiiKH pa.Dii.n
mai.n to tang aa chukaa
kyaa faa.eda aise muriid kaa
jo kabhii murshid kii hidaayat par nahii.n chaltaa
ek martaba mai.n ne bhejaa tumhe.n paanii de kar
ek jaa.n-balab shaKHs ke liye
lekin tum ne
us ke qaatil kaa makaan nazr-e-aatish kar diyaa
jab mai.n ne tumhe.n tuluu'-e-sub.h kaa naGma gaane ke liye kahaa
tum ne mujhe sirf matanabbe kiyaa
aane vaalii niim-shab se
mai.n ne tumhe.n sa.Dko.n par bhejaa
inqalaab kii tabliiG ke liye
lekin tum bas daGaa ke shikaar shahiido.n kaa nauha kartii rahii.n
alaihadgii pasandii ke KHayaalaat aam karne ko kahaa
to tum sa.Dko.n par aavaargii me.n masruuf
mohabbat ke giit alaaptii rahii.n
mai.n ne apne mahbuub ke paas
ek paiGaam de kar tumhe.n bhejaa
tum vahaa.n se za.afraanii malbuus pahne lauT aa.ii
tum kis maa.n kii janii ho
zamiin kii yaa aasmaan kii
aur kahaa.n kisii aspataal ke ward me.n
yaa kisii naalii me.n paidaa hu.ii ho
kis ne tumhe.n khilaayaa pilaayaa
havaa ne yaa suuraj ne
parvaan cha.Dhii tum kis chiiz par
gosha-nashiinii me.n yaa taariiKH par
kyaa tum sach much merii shaa'irii ho
kyaa ye itnaa sab kuchh hai mujh me.n
kaun huu.n mai.n
goyaa huu.n yaa vo jis ke baare me.n ko.ii goyaa hai
jaane do
lekin zaraa bataa.o to
kal shab tum kis ke saath ham-bistar thii
kaun sii kahaanii chhipii hu.ii hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.