tuu kaisaa naadaa.n hai
tuu kaisaa naadaa.n hai
jism apnaa hii
tere kaa.ndho.n pe baar hai ab
ki apne dar par hii tuu savaalii banaa kha.Daa hai
ye baar apnaa usii ko de de
jise saliiqa ho zindagii kaa
yahii hai behtar ki piichhe mu.D kar
kabhii na hasrat se dekhnaa ho
havas to dushman hai raushnii kii
yahii charaaGo.n kii lau katartii hai
apnii saa.nso.n se jab bhii dekho
ye kaisaa faasid 'amal hai socho
tum apnii sauGaat us se loge
hai.n KHuun-aaluud haath jis ke
KHuluus-o-ulfat se jo bhii miltaa ho
sar jhukaa kar qubuul kar lo
tuu kaisaa naadaa.n hai
jism apnaa hii
tere kaa.ndho.n pe baar hai ab
ki apne dar par hii tuu savaalii banaa kha.Daa hai
ye baar apnaa usii ko de de
jise saliiqa ho zindagii kaa
yahii hai behtar ki piichhe mu.D kar
kabhii na hasrat se dekhnaa ho
havas to dushman hai raushnii kii
yahii charaaGo.n kii lau katartii hai
apnii saa.nso.n se jab bhii dekho
ye kaisaa faasid 'amal hai socho
tum apnii sauGaat us se loge
hai.n KHuun-aaluud haath jis ke
KHuluus-o-ulfat se jo bhii miltaa ho
sar jhukaa kar qubuul kar lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.