Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye gahre saa.e barastaa saavan

Rabindranath Tagore

ye gahre saa.e barastaa saavan

Rabindranath Tagore

MORE BYRabindranath Tagore

    ye gahre saa.e barastaa saavan

    tumhaare qadmo.n kii raazdaarii

    ki raat goyaa utar rahii hai

    nigaah-baano.n se bach-bachaa kar

    ye aaj kii sub.h ne to jaise

    hai.n band kar rakkhii apnii aa.nkhe.n

    ki baad-e-mashriq kii mustaqil dastake.n bhii ko.ii

    javaab paatii nahii.n hai.n us kaa

    ye aasmaa.n jo hamesha bedaar hii rahaa hai

    dabiiz saa us ke mu.nh pe ghuu.nghaT pa.Daa hai

    na jangalo.n se sunaa.ii detaa hai ko.ii naGma

    har ek ghar ke dariiche darvaaze band hai.n sab

    ki Gair-aabaad raasto.n par

    tumhii akele safar pe nikle

    bas ek tum hii ho dost mere

    tumhii ho mahbuub sab se achchhe

    tumhaarii KHaatir khule hu.e hai.n

    tamaam darvaaze mere ghar ke

    yahaa.n se guzro na KHvaab ban kar

    ye gahre saa.e barastaa saavan

    tumhaare qadmo.n kii raazdaarii

    ki raat goyaa utar rahii hai

    nigaah-baano.n se bach-bachaa kar

    ye aaj kii sub.h ne to jaise

    hai.n band kar rakkhii apnii aa.nkhe.n

    ki baad-e-mashriq kii mustaqil dastake.n bhii ko.ii

    javaab paatii nahii.n hai.n us kaa

    ye aasmaa.n jo hamesha bedaar hii rahaa hai

    dabiiz saa us ke mu.nh pe ghuu.nghaT pa.Daa hai

    na jangalo.n se sunaa.ii detaa hai ko.ii naGma

    har ek ghar ke dariiche darvaaze band hai.n sab

    ki Gair-aabaad raasto.n par

    tumhii akele safar pe nikle

    bas ek tum hii ho dost mere

    tumhii ho mahbuub sab se achchhe

    tumhaarii KHaatir khule hu.e hai.n

    tamaam darvaaze mere ghar ke

    yahaa.n se guzro na KHvaab ban kar

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now