Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Aleena Itrat's Photo'

Aleena Itrat

Noida, India

A woman poet of female tone and tenor, popular in Mushairas.

A woman poet of female tone and tenor, popular in Mushairas.

Aleena Itrat

Ghazal 22

Nazm 5

 

Sher-o-Shayari 44

shadīd dhuup meñ saare daraḳht suukh ga.e

bas ik duā shajar thā jo be-samar na huā

shadid dhup mein sare daraKHt sukh gae

bas ek dua ka shajar tha jo be-samar na hua

  • Share this

udāsī shaam tanhā.ī kasak yādoñ bechainī

mujhe sab sauñp kar sūraj utar jaatā hai paanī meñ

udasi sham tanhai kasak yaadon ki bechaini

mujhe sab saunp kar suraj utar jata hai pani mein

  • Share this

koī āvāz na aahaT na koī halchal hai

aisī ḳhāmoshī se guzre to guzar jā.eñge

koi aawaz na aahaT na koi halchal hai

aisi KHamoshi se guzre to guzar jaenge

  • Share this

koī milā nahīñ jis se hāl-e-dil kahte

milā to rah ga.e lafzoñ ke intiḳhāb meñ ham

koi mila hi nahin jis se haal-e-dil kahte

mila to rah gae lafzon ke intiKHab mein hum

  • Share this

apnī muTThī meñ chhupā kar kisī jugnū tarah

ham tire naam ko chupke se paḌhā karte haiñ

apni muTThi mein chhupa kar kisi jugnu ki tarah

hum tere nam ko chupke se paDha karte hain

  • Share this

BOOKS 1

 

Image Shayari 3

 

Videos 4

This video is playing from YouTube

Playing videos from section
Poet reciting own poetry

Aleena Itrat

liijiye ham se baa-kamaal log bhii aam ho ga.e

Aleena Itrat

KHizaa.n kii zard sii ra.ngat badal bhii saktii hai

Aleena Itrat

zinda rahne kii ye tarkiib nikaalii mai.n ne

Aleena Itrat

RELATED translators

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now