Sher of Ameer Raza Mazhari
tum kisī ke bhī ho nahīñ sakte
tum ko apnā banā ke dekh liyā
tum kisi ke bhi ho nahin sakte
tum ko apna bana ke dekh liya
ham ko bachpan hī se ik shauq thā barbādī se
naam likh likh ke miTāte the zamīñ par apnā
hum ko bachpan hi se ek shauq tha barbaadi se
nam likh likh ke miTate the zamin par apna
ham bane the tabāh hone ko
aap kā ishq to bahāna thā
hum bane the tabah hone ko
aap ka ishq to bahana tha
ham haiñ un se vo ġhair se māyūs
kyā mohabbat kisī ko raas nahīñ
hum hain un se wo ghair se mayus
kya mohabbat kisi ko ras nahin
kyā ta.ajjub hai jo yāroñ ne rifāqat chhoḌī
baiThtā kaun hai girtī huī dīvār ke paas
kya tajjub hai jo yaron ne rifaqat chhoDi
baiThta kaun hai girti hui diwar ke pas
dekhne vaale samajhte haiñ shanāsā bhī nahīñ
aaj begāne nazar aate haiñ ham tum kitne
dekhne wale samajhte hain shanasa bhi nahin
aaj begane nazar aate hain hum tum kitne
hamāre ba.ad sunñā dūsroñ se
kahānī ye abhī puurī nahīñ hai
hamare baad sunna dusron se
kahani ye abhi puri nahin hai