Hayat Lakhnavi
Ghazal 11
Nazm 2
Sher-o-Shayari 8
ye iltijā duā ye tamannā fuzūl hai
sūkhī nadī ke paas samundar na jā.egā
ye iltija dua ye tamanna fuzul hai
sukhi nadi ke pas samundar na jaega
-
Share this
- See Ghazal
ab diloñ meñ koī gunjā.ish nahīñ miltī 'hayāt'
bas kitāboñ meñ likkhā harf-e-vafā rah jā.egā
ab dilon mein koi gunjaish nahin milti 'hayat'
bas kitabon mein likkha harf-e-wafa rah jaega
-
Share this
- See Ghazal
chehre ko tere dekh ke ḳhāmosh ho gayā
aisā nahīñ savāl tirā lā-javāb thā
chehre ko tere dekh ke KHamosh ho gaya
aisa nahin sawal tera la-jawab tha
-
Share this
- See Ghazal
silsila ḳhvāboñ kā sab yūñhī dharā rah jā.egā
ek din bistar pe koī jāgtā rah jā.egā
silsila KHwabon ka sab yunhi dhara rah jaega
ek din bistar pe koi jagta rah jaega
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 6
Image Shayari 1
vahm-o-gumaa.n me.n bhii kahaa.n ye inqilaab thaa jo kuchh bhii aaj tak nazar aayaa vo KHvaab thaa paa-e-muraad paa ke vo behaal ho gayaa manzil bahut hasiin thii rasta KHaraab thaa chehre ko tere dekh ke KHaamosh ho gayaa aisaa nahii.n savaal tiraa laa-javaab thaa us ke paro.n me.n quvvat parvaaz thii magar un mausamo.n kaa apnaa bhii ko.ii hisaab thaa aa.nkho.n me.n zindagii kii tarah aa basaa hai vo merii nazar me.n pahle jo manzar KHaraab thaa jaise havaa kaa jho.nkaa thaa aa kar guzar gayaa vo shaKHs is ke baa'd kahaa.n dastiyaab thaa saaraa kalaam us se mu.anvan hu.aa 'hayaat' jis kaa vajuud KHud bhii mukammal kitaab thaa