Sher of Niyaz Fatehpuri
ghaḌī ghaḌī na idhar dekhiye ki dil pe mujhe
hai iḳhtiyār par itnā bhī iḳhtiyār nahīñ
ghaDi ghaDi na idhar dekhiye ki dil pe mujhe
hai iKHtiyar par itna bhi iKHtiyar nahin
maiñ ab to ai junūñ tire hāthoñ se tañg huuñ
lā.ūñ kahāñ se roz garebāñ na.e na.e
main ab to ai junun tere hathon se tang hun
laun kahan se roz gareban nae nae
na duniyā kā huuñ maiñ na kuchh fikr diiñ kā
mohabbat ne rakkhā na mujh ko kahīñ kā
na duniya ka hun main na kuchh fikr din ka
mohabbat ne rakkha na mujh ko kahin ka
tum to Thukrā kar guzar jaao tumheñ Tokegā kaun
maiñ paḌā huuñ raah meñ to kyā tumhārā jā.egā
tum to Thukra kar guzar jao tumhein Tokega kaun
main paDa hun rah mein to kya tumhaara jaega