Sher of Parvez Shahidi
na jaane kah ga.e kyā aap muskurāne meñ
hai dil ko naaz ki jaan aa ga.ī fasāne meñ
na jaane kah gae kya aap muskurane mein
hai dil ko naz ki jaan aa gai fasane mein
mirī zindagī kī zīnat huī āfat-o-balā se
maiñ vo zulf-e-ḳham-ba-ḳham huuñ jo sañvar ga.ī havā se
meri zindagi ki zinat hui aafat-o-bala se
main wo zulf-e-KHam-ba-KHam hun jo sanwar gai hawa se
abhī se sub.h-e-gulshan raqs-farmā hai nigāhoñ meñ
abhī puurī naqāb ulTī nahīñ hai shām-e-sahrā ne
abhi se subh-e-gulshan raqs-farma hai nigahon mein
abhi puri naqab ulTi nahin hai sham-e-sahra ne
yaad haiñ aap ke toḌe hue paimāñ ham ko
kījiye aur na sharminda-e-ehsāñ ham ko
yaad hain aap ke toDe hue paiman hum ko
kijiye aur na sharminda-e-ehsan hum ko
giit hariyālī ke gā.eñge sisakte hue khet
mehnat ab ġhārat-e-jāgīr tak aa pahuñchī hai
git hariyali ke gaenge sisakte hue khet
mehnat ab ghaarat-e-jagir tak aa pahunchi hai
ye taaj ke saa.e meñ zar-o-sīm ke ḳhirman
kyuuñ ātish-e-kashkol-e-gadā se nahīñ Darte
ye taj ke sae mein zar-o-sim ke KHirman
kyun aatish-e-kashkol-e-gada se nahin Darte
guzrā hai kaun phuul khilātā ḳhirām se
'shādāb' aaj rāhguzar pā rahā huuñ maiñ
guzra hai kaun phul khilata KHiram se
'shadab' aaj rahguzar pa raha hun main
saḳht-jāñ vo huuñ ki maqtal se sar-afrāz aayā
kitnī talvāroñ ko detā huā āvāz aayā
saKHt-jaan wo hun ki maqtal se sar-afraaz aaya
kitni talwaron ko deta hua aawaz aaya