Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Saeed Ahmad Akhtar's Photo'

Saeed Ahmad Akhtar

1932 - 2013 | Dera Ismail khan, Pakistan

Sher of Saeed Ahmad Akhtar

306
Favorite

SORT BY

sulag rahā hai chaman meñ bahār mausam

kisī hasīn ko āvāz do ḳhudā ke liye

sulag raha hai chaman mein bahaar ka mausam

kisi hasin ko aawaz do KHuda ke liye

kal raat jis ko chāñd samajhte rahe the ham

kangan uchhal gayā thā kisī nāznīn

kal raat jis ko chand samajhte rahe the hum

kangan uchhal gaya tha kisi naznin ka

pūchhtā koī nahīñ paḌhtā mujhe har ek hai

jaise 'manto' koī badnām afsāna huuñ maiñ

puchhta koi nahin paDhta mujhe har ek hai

jaise 'manto' ka koi badnam afsana hun main

muddat se ḳhāmushī hai chalo aaj mar chaleñ

do-chār din to ghar meñ zarā anjuman rahe

muddat se KHamushi hai chalo aaj mar chalen

do-chaar din to ghar mein zara anjuman rahe

maiñ faqīr huuñ duā hai

mire paas aur kyā hai

main faqir hun dua hai

mere pas aur kya hai

mire to phuul bhī tum ho sabā bhī ḳhushbū bhī

nahīñ ho tum to nahīñ mere kaam mausam

mere to phul bhi tum ho saba bhi KHushbu bhi

nahin ho tum to nahin mere kaam ka mausam

tumhāre bāloñ se gāloñ se kheltā mausam

maiñ dekhtā rahā aur guzar gayā mausam

tumhaare baalon se galon se khelta mausam

main dekhta hi raha aur guzar gaya mausam

tirā kirdār kitnā muḳhtalif hai

tirī tārīḳh terī dāstāñ se

tera kirdar kitna muKHtalif hai

teri tariKH teri dastan se

aap hairāñ kyuuñ haiñ merī aañkh se dekheñ ise

ye mire album sab se dil-nashīñ tasvīr hai

aap hairan kyun hain meri aankh se dekhen ise

ye mere album ki sab se dil-nashin taswir hai

shabāb tum se karegā jo tum ne ham se kiyā

tumhārā husn bhī niklegā bevafā mausam

shabab tum se karega jo tum ne hum se kiya

tumhaara husn bhi niklega bewafa mausam

ye ḳhūbī hai ki nā-ḳhūbī magar maiñ

alag chaltā huuñ apne kārvāñ se

ye KHubi hai ki na-KHubi magar main

alag chalta hun apne karwan se

is Dar se rok rakkhe haiñ aañsū 'sa.īd' ne

āñchal na bhiig jaa.e kisī gul-jabīn

is Dar se rok rakkhe hain aansu 'said' ne

aanchal na bhig jae kisi gul-jabin ka

kabhī utrā nahīñ jo āsmāñ se

vafā utregī us dil par kahāñ se

kabhi utra nahin jo aasman se

wafa utregi us dil par kahan se

merī vafā hai merī zamīñ se juḌī huī

pahlā sabaq hai merā vatan mere diin

meri wafa hai meri zamin se juDi hui

pahla sabaq hai mera watan mere din ka

kitāb-e-ishq likh rakkhī hai dil par

magar Dartā huuñ phir bhī imtihāñ se

kitab-e-ishq likh rakkhi hai dil par

magar Darta hun phir bhi imtihan se

sajda kahāñ lagā hai hamārī jabīn

charchā hai phir falak pe tire dar-nashīn

sajda kahan laga hai hamari jabin ka

charcha hai phir falak pe tere dar-nashin ka

ye mirā ilhām hai vo mirī tadbīr hai

maiñ na junūñ asiir maiñ na ḳhirad ġhulām

ye mera ilham hai wo meri tadbir hai

main na junun ka asir main na KHirad ka ghulam

ki jaise sehn-e-gulistāñ meñ pyaar mausam

khulī jo aañkh tumhārī to khul gayā mausam

ki jaise sehn-e-gulistan mein pyar ka mausam

khuli jo aankh tumhaari to khul gaya mausam

aayā thā sun ke shahr meñ daulat rel-pel

kal mill meñ kaT ke mar gayā beTā kisān

aaya tha sun ke shahr mein daulat ki rel-pel

kal mill mein kaT ke mar gaya beTa kisan ka

ek ham tīnoñ meñ mar jaa.e to chhap jā.egī

likh to rakkhī hai tirī prem kahānī maiñ ne

ek hum tinon mein mar jae to chhap jaegi

likh to rakkhi hai teri prem kahani main ne

hañsiye charāġh ujāliye paude lagā.iye

kuchh hausla baḌhā.iye būḌhī zamīn

hansiye charagh ujaliye paude lagaiye

kuchh hausla baDhaiye buDhi zamin ka

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now