ALL
Profile
Ghazal66
Nazm101
Sher101
E-book63
TOP 20 SHAYARI 20
Image Shayari33
Audio37
Video50
Qita4
Qisse3
Gallery 3
Blog4
Other
Lori1
Geet49
Filmi Geet4
Sahir Ludhianvi
Ghazal 66
Nazm 101
Sher-o-Shayari 101
ham to samjhe the ki ham bhuul ga.e haiñ un ko
kyā huā aaj ye kis baat pe ronā aayā
hum to samjhe the ki hum bhul gae hain un ko
kya hua aaj ye kis baat pe rona aaya
-
Share this
- See Ghazal
dekhā hai zindagī ko kuchh itne qarīb se
chehre tamām lagne lage haiñ ajiib se
dekha hai zindagi ko kuchh itne qarib se
chehre tamam lagne lage hain ajib se
-
Share this
- See Ghazal
ġham aur ḳhushī meñ farq na mahsūs ho jahāñ
maiñ dil ko us maqām pe laatā chalā gayā
gham aur KHushi mein farq na mahsus ho jahan
main dil ko us maqam pe lata chala gaya
-
Share this
- See Ghazal
Qita 4
Qisse 3
Lori 1
Geet 49
BOOKS 63
Image Shayari 33
mere KHvaabo.n ke jharoko.n ko sajaane vaalii tere KHvaabo.n me.n kahii.n meraa guzar hai ki nahii.n puuchh kar apnii nigaaho.n se bataa de mujh ko merii raato.n ke muqaddar me.n sahar hai ki nahii.n chaar din kii ye rifaaqat jo rifaaqat bhii nahii.n umr bhar ke liye aazaar hu.ii jaatii hai zindagii yuu.n to hamesha se pareshaan sii thii ab to har saa.ns giraa.n-baar hu.ii jaatii hai merii uj.Dii hu.ii niindo.n ke shabistaano.n me.n tuu kisii KHvaab ke paikar kii tarah aa.ii hai kabhii apnii sii kabhii Gair nazar aa.ii hai kabhii iKHlaas kii muurat kabhii harjaa.ii hai pyaar par bas to nahii.n hai miraa lekin phir bhii tuu bataa de ki tujhe pyaar karuu.n yaa na karuu.n tuu ne KHud apne tabassum se jagaayaa hai jinhe.n un tamannaa.o.n kaa iz.haar karuu.n yaa na karuu.n tuu kisii aur ke daaman kii kalii hai lekin merii raate.n tirii KHushbuu se basii rahtii hai.n tuu kahii.n bhii ho tire phuul se aariz kii qasam terii palke.n mirii aa.nkho.n pe jhukii rahtii hai.n tere haatho.n kii haraarat tire saa.nso.n kii mahak tairtii rahtii hai ehsaas kii pahnaa.ii me.n Dhuu.nDtii rahtii hai.n taKH.iil kii baa.nhe.n tujh ko sard raato.n kii sulagtii hu.ii tanhaa.ii me.n teraa altaaf-o-karam ek haqiiqat hai magar ye haqiiqat bhii haqiiqat me.n fasaana hii na ho terii maanuus nigaaho.n kaa ye mohtaat payaam dil ke KHuu.n karne kaa ek aur bahaana hii na ho kaun jaane mire imroz kaa fardaa kyaa hai qurbate.n ba.Dh ke pashemaan bhii ho jaatii hai.n dil ke daaman se lipaTtii hu.ii ra.ngii.n nazre.n dekhte dekhte anjaan bhii ho jaatii hai.n merii darmaa.nda javaanii kii tamannaa.o.n ke muzmahil KHvaab kii taabiir bataa de mujh ko tere daaman me.n gulistaa.n bhii hai.n viiraane bhii meraa haasil merii taqdiir bataa de mujh ko
na mu.nh chhupaa ke jiye ham na sar jhukaa ke jiye sitamgaro.n kii nazar se nazar milaa ke jiye ab ek raat agar kam jiye to kam hii sahii yahii bahut hai ki ham mish.ale.n jalaa ke jiye
jahaa.n jahaa.n tirii nazro.n kii os Tapkii hai vahaa.n vahaa.n se abhii tak Gubaar uThtaa hai jahaa.n jahaa.n tire jalvo.n ke phuul bikhre the vahaa.n vahaa.n dil-e-vahshii pukaar uThtaa hai
miltii hai zindagii me.n mohabbat kabhii kabhii hotii hai dilbaro.n kii inaayat kabhii kabhii sharmaa ke mu.nh na pher nazar ke savaal par laatii hai aise mo.D pe qismat kabhii kabhii khulte nahii.n hai.n roz dariiche bahaar ke aatii hai jaan-e-man ye qayaamat kabhii kabhii tanhaa na kaT sake.nge javaanii ke raaste pesh aa.egii kisii kii zaruurat kabhii kabhii phir kho na jaa.e.n ham kahii.n duniyaa kii bhii.D me.n miltii hai paas aane kii mohlat kabhii kabhii
ye mahlo.n ye taKHto.n ye taajo.n kii duniyaa ye insaa.n ke dushman samaajo.n kii duniyaa ye daulat ke bhuuke rivaajo.n kii duniyaa ye duniyaa agar mil bhii jaa.e to kyaa hai har ik jism ghaayal har ik ruuh pyaasii nigaaho.n me.n uljhan dilo.n me.n udaasii ye duniyaa hai yaa aalam-e-bad-havaasii ye duniyaa agar mil bhii jaa.e to kyaa hai yahaa.n ik khilaunaa hai insaa.n kii hastii ye bastii hai murda-parasto.n kii bastii yahaa.n par to jiivan se hai maut sastii ye duniyaa agar mil bhii jaa.e to kyaa hai javaanii bhaTaktii hai bad-kaar ban kar javaa.n jism sajte hai.n baazaar ban kar yahaa.n pyaar hotaa hai bevpaar ban kar ye duniyaa agar mil bhii jaa.e to kyaa hai ye duniyaa jahaa.n aadmii kuchh nahii.n hai vafaa kuchh nahii.n dostii kuchh nahii.n hai jahaa.n pyaar kii qadr hii kuchh nahii.n hai ye duniyaa agar mil bhii jaa.e to kyaa hai jalaa do ise phuu.nk Daalo ye duniyaa mire saamne se haTaa lo ye duniyaa tumhaarii hai tum hii sambhaalo ye duniyaa ye duniyaa agar mil bhii jaa.e to kyaa hai