main hun mushtaq-e-jafa mujh pe jafa aur sahi
Interesting Fact
1865
maiñ huuñ mushtāq-e-jafā mujh pe jafā aur sahī
tum ho bedād se ḳhush is se sivā aur sahī
ġhair kī marg kā ġham kis liye ai ġhairat-e-māh
haiñ havas-pesha bahut vo na ho aur sahī
tum ho but phir tumheñ pindār-e-ḳhudā.ī kyoñ hai
tum ḳhudāvand hī kahlāo ḳhudā aur sahī
husn meñ huur se baḌh kar nahīñ hone ke kabhī
aap kā sheva-o-andāz-o-adā aur sahī
tere kūche kā hai maa.il dil-e-muztar merā
kā'ba ek aur sahī qibla-numā aur sahī
koī duniyā meñ magar baaġh nahīñ hai vā'iz
ḳhuld bhī baaġh hai ḳhair āb-o-havā aur sahī
kyoñ na firdaus meñ dozaḳh ko milā leñ yārab
sair ke vāste thoḌī sī fazā aur sahī
mujh ko vo do ki jise khā ke na paanī māñgūñ
zahr kuchh aur sahī āb-e-baqā aur sahī
mujh se 'ġhālib' ye 'alā.ī' ne ġhazal likhvā.ī
ek bedād-gar-e-ranj-fizā aur sahī
main hun mushtaq-e-jafa mujh pe jafa aur sahi
tum ho bedad se KHush is se siwa aur sahi
ghair ki marg ka gham kis liye ai ghairat-e-mah
hain hawas-pesha bahut wo na ho aur sahi
tum ho but phir tumhein pindar-e-KHudai kyon hai
tum KHudawand hi kahlao KHuda aur sahi
husn mein hur se baDh kar nahin hone ke kabhi
aap ka shewa-o-andaz-o-ada aur sahi
tere kuche ka hai mail dil-e-muztar mera
ka'ba ek aur sahi qibla-numa aur sahi
koi duniya mein magar bagh nahin hai wa'iz
KHuld bhi bagh hai KHair aab-o-hawa aur sahi
kyon na firdaus mein dozaKH ko mila len yarab
sair ke waste thoDi si faza aur sahi
mujh ko wo do ki jise kha ke na pani mangun
zahr kuchh aur sahi aab-e-baqa aur sahi
mujh se 'ghaalib' ye 'alai' ne ghazal likhwai
ek bedad-gar-e-ranj-fiza aur sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.