Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Bushra Hashmi

Bushra Hashmi

Ghazal 4

 

Sher-o-Shayari 5

arsa huā kisī ne pukārā nahīñ mujhe

shāyad kisī ko merī zarūrat nahīñ rahī

arsa hua kisi ne pukara nahin mujhe

shayad kisi ko meri zarurat nahin rahi

sarmāya-e-hayāt huā chāhtā hai ḳhatm

jis par ġhurūr thā vahī daulat nahīñ rahī

sarmaya-e-hayat hua chahta hai KHatm

jis par ghurur tha wahi daulat nahin rahi

jo na kaT sakā vo nishān thā kisī zaḳhm

jo na mil sakā vo sarāb thā koī ḳhvāb thā

jo na kaT saka wo nishan tha kisi zaKHm ka

jo na mil saka wo sarab tha koi KHwab tha

vahī lafz haiñ durr-e-be-bahā mire vāste

jinheñ chhū ga.ī ho tirī zabāñ mire mehrbāñ

wahi lafz hain durr-e-be-baha mere waste

jinhen chhu gai ho teri zaban mere mehrban

dil ke zaḳhmoñ chubhan dīda-e-tar se pūchho

mere ashkoñ hai kyā mol guhar se pūchhā

dil ke zaKHmon ki chubhan dida-e-tar se puchho

mere ashkon ka hai kya mol guhar se puchha

BOOKS 1

 

Recitation

Speak Now