Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Danish Naqwi's Photo'

Danish Naqwi

1995

Danish Naqwi

Ghazal 12

Sher-o-Shayari 5

dekho mujhe ab merī jagah se na hilānā

phir tum mujhe tartīb se rakh kar nahīñ jaate

dekho mujhe ab meri jagah se na hilana

phir tum mujhe tartib se rakh kar nahin jate

aisī tasvīr banā rote hue ḳhush bhī lagūñ

ġham tarsīl to ho ġham tamāsha na bane

aisi taswir bana rote hue KHush bhi lagun

gham ki tarsil to ho gham ka tamasha na bane

dekh lenā hamāre bachchoñ ke baal jaldī safed hoñge

hamārī chhoḌī huī udāsī se saat nasleñ udaas hoñgī

tu dekh lena hamare bachchon ke baal jaldi safed honge

hamari chhoDi hui udasi se sat naslen udas hongi

jaate hue kamre kisī chiiz ko chhū de

maiñ yaad karūñgā ki tire haath lage the

jate hue kamre ki kisi chiz ko chhu de

main yaad karunga ki tere hath lage the

ye jis beTī ke sar chādar ka.ī jagah se phaTī huī hai

tum us ke gaañv meñ ke dekho to aadhī fasleñ kapās hoñgī

ye jis ki beTi ke sar ki chadar kai jagah se phaTi hui hai

tum us ke ganw mein ja ke dekho to aadhi faslen kapas hongi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now