Farhat Abbas Shah
Ghazal 17
Sher-o-Shayari 7
anā kī jang meñ ham jiit to ga.e lekin
phir us ke baad bahut der tak niDhāl rahe
ana ki jang mein hum jit to gae lekin
phir us ke baad bahut der tak niDhaal rahe
- Add to favorites
-
Share this
maiñ be-ḳhayāl kabhī dhuup meñ nikal aa.uuñ
to kuchh sahāb mire saath saath chalte haiñ
main be-KHayal kabhi dhup mein nikal aaun
to kuchh sahab mere sath sath chalte hain
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
mire añg añg meñ bas ga.ī
ye jo shā.irī hai ye kaun hai
mere ang ang mein bas gai
ye jo shairi hai ye kaun hai
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
saañs letā huuñ to rotā hai koī siine meñ
dil dhaḌaktā hai to mātam kī sadā aatī hai
sans leta hun to rota hai koi sine mein
dil dhaDakta hai to matam ki sada aati hai
- Add to favorites
-
Share this
use ziyāda zarūrat thī ghar basāne kī
vo aa ke mere dar-o-bām le gayā mujh se
use ziyaada zarurat thi ghar basane ki
wo aa ke mere dar-o-baam le gaya mujh se
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal