Muzaffar Hanfi
Ghazal 51
Nazm 37
Sher-o-Shayari 33
suntā huuñ ki tujh ko bhī zamāne se gila hai
mujh ko bhī ye duniyā nahīñ raas aa.ī idhar aa
sunta hun ki tujh ko bhi zamane se gila hai
mujh ko bhi ye duniya nahin ras aai idhar aa
-
Share this
- See Ghazal
rotī huī ek bhiiḌ mire gird khaḌī thī
shāyad ye tamāsha mire hañsne ke liye thā
roti hui ek bhiD mere gird khaDi thi
shayad ye tamasha mere hansne ke liye tha
-
Share this
- See Ghazal
mujh se mat bolo maiñ aaj bharā baiThā huuñ
cigarette ke donoñ paikeT bilkul ḳhālī haiñ
mujh se mat bolo main aaj bhara baiTha hun
cigarette ke donon paikeT bilkul KHali hain
-
Share this
- See Ghazal
shukriya reshmī dilāse kā
tiir to aap ne bhī maarā thā
shukriya reshmi dilase ka
tir to aap ne bhi mara tha
-
Share this
- See Ghazal
khilte haiñ dil meñ phuul tirī yaad ke tufail
ātish-kada to der huī sard ho gayā
khilte hain dil mein phul teri yaad ke tufail
aatish-kada to der hui sard ho gaya
-
Share this
- See Ghazal