Basir Sultan Kazmi
Ghazal 48
Nazm 10
Sher-o-Shayari 15
'bāsir' tumheñ yahāñ kā abhī tajraba nahīñ
bīmār ho? paḌe raho, mar bhī ga.e to kyā
'basir' tumhein yahan ka abhi tajraba nahin
bimar ho? paDe raho, mar bhi gae to kya
-
Share this
- See Ghazal
chamkī thī ek barq sī phūloñ ke ās-pās
phir kyā huā chaman meñ mujhe kuchh ḳhabar nahīñ
chamki thi ek barq si phulon ke aas-pas
phir kya hua chaman mein mujhe kuchh KHabar nahin
-
Share this
- See Ghazal
kaise yaad rahī tujh ko
merī ik chhoTī sī bhuul
kaise yaad rahi tujh ko
meri ek chhoTi si bhul
-
Share this
- See Ghazal
ḳhatm huiiñ saarī bāteñ
achchhā ab chaltā huuñ maiñ
KHatm huin sari baaten
achchha ab chalta hun main
-
Share this
- See Ghazal
tū jab sāmne hotā hai
aur kahīñ hotā huuñ maiñ
tu jab samne hota hai
aur kahin hota hun main
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 13
Image Shayari 2
ye nahii.n hai ki tujhe mai.n ne pukaaraa kam hai mere naalo.n ko havaa.o.n kaa sahaaraa kam hai is qadar hijr me.n kii najm-shumaarii ham ne jaan lete hai.n kahaa.n ko.ii sitaaraa kam hai dostii me.n to ko.ii shak nahii.n us kii par vo dost dushman kaa ziyaada hai hamaaraa kam hai saaf iz.haar ho aur vo bhii kam-az-kam do baar ham vo aaqil hai.n jinhe.n ek ishaaraa kam hai ek ruKHsaar pe dekhaa hai vo til ham ne bhii ho samarqand muqaabil ki buKHaaraa kam hai itnii jaldii na banaa raa.e mire baare me.n ham ne hamraah abhii vaqt guzaaraa kam hai baaG ik ham ko milaa thaa magar us ko afsos ham ne jii bhar ke bigaa.Daa hai sa.nvaaraa kam hai aaj tak apnii samajh me.n nahii.n aayaa 'baasir' kaun saa kaam hai vo jis me.n KHasaaraa kam hai