Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Sabir Dutt's Photo'

Sabir Dutt

1938 - 2000 | Mumbai, India

Renowned poet from Haryana.

Renowned poet from Haryana.

Sher of Sabir Dutt

muddatoñ baad uThā.e the purāne kāġhaz

saath tere mirī tasvīr nikal aa.ī hai

muddaton baad uThae the purane kaghaz

sath tere meri taswir nikal aai hai

log karte haiñ ḳhvāb bāteñ

ham ne dekhā hai ḳhvāb āñkhoñ se

log karte hain KHwab ki baaten

hum ne dekha hai KHwab aankhon se

ḳhvāboñ se na jaao ki abhī raat bahut hai

pahlū meñ tum aao ki abhī raat bahut hai

KHwabon se na jao ki abhi raat bahut hai

pahlu mein tum aao ki abhi raat bahut hai

ye kaisī siyāsat hai mire mulk pe haavī

insān ko insāñ se judā dekh rahā huuñ

ye kaisi siyasat hai mere mulk pe hawi

insan ko insan se juda dekh raha hun

zulf shaam sub.h chehre

yahī mausam janāb de diije

zulf ki sham subh chehre ki

yahi mausam janab de dije

phir laa.ī hai barsāt tirī yaad mausam

gulshan meñ nayā phuul khilā dekh rahā huuñ

phir lai hai barsat teri yaad ka mausam

gulshan mein naya phul khila dekh raha hun

bhar ke tumheñ dekh luuñ taskīn ho kuchh to

mat sham.a bujhāo ki abhī raat bahut hai

ji bhar ke tumhein dekh lun taskin ho kuchh to

mat shama bujhao ki abhi raat bahut hai

ruḳh un kahīñ aur nazar aur taraf hai

kis samt se aatī hai qazā dekh rahā huuñ

ruKH un ka kahin aur nazar aur taraf hai

kis samt se aati hai qaza dekh raha hun

Recitation

Speak Now