Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Salik Lakhnavi's Photo'

Salik Lakhnavi

1913 - 2013 | Kolkata, India

Sher of Salik Lakhnavi

1.2K
Favorite

SORT BY

sāhil pe qaid lākhoñ safīnoñ ke vāste

merī shikasta naav hai tūfāñ liye hue

sahil pe qaid lakhon safinon ke waste

meri shikasta naw hai tufan liye hue

manzil na milī kashmakash-e-ahl-e-nazar meñ

is bhiiḌ se maiñ apnī nazar le ke chalā huuñ

manzil na mili kashmakash-e-ahl-e-nazar mein

is bhiD se main apni nazar le ke chala hun

jo terī bazm se uTThā vo is tarah uTThā

kisī aañkh meñ aañsū kisī ke dāman meñ

jo teri bazm se uTTha wo is tarah uTTha

kisi ki aankh mein aansu kisi ke daman mein

ye bhī ik raat kaT jā.egī

sub.h-e-fardā muntazir hai nigāh

ye bhi ek raat kaT hi jaegi

subh-e-farda ki muntazir hai nigah

apnī ḳhuddārī salāmat dil aalam kuchh sahī

jis jagah se uTh chuke haiñ us jagah phir jaa.eñ kyā

apni KHuddari salamat dil ka aalam kuchh sahi

jis jagah se uTh chuke hain us jagah phir jaen kya

kahī kisī se na rūdād-e-zindagī maiñ ne

guzār dene shai thī guzār maiñ ne

kahi kisi se na rudad-e-zindagi main ne

guzar dene ki shai thi guzar di main ne

chāhā thā Thokaroñ meñ guzar jaa.e zindagī

logoñ ne sañg-e-rāh samajh kar haTā diyā

chaha tha Thokaron mein guzar jae zindagi

logon ne sang-e-rah samajh kar haTa diya

khīñch bhī lījiye achchhā to hai tasvīr-e-junūñ

aap bazm meñ kyā jāniye kal hoñ ki na hoñ

khinch bhi lijiye achchha to hai taswir-e-junun

aap ki bazm mein kya jaaniye kal hon ki na hon

nāḳhudā Dūbne vāloñ taraf muḌ ke na dekh

na kareñge na kināroñ tamannā hai

naKHuda Dubne walon ki taraf muD ke na dekh

na karenge na kinaron ki tamanna ki hai

yūñhī insānoñ ke shahroñ meñ milā apnā vajūd

kisī vīrāne meñ ik phuul khilā ho jaise

yunhi insanon ke shahron mein mila apna wajud

kisi virane mein ek phul khila ho jaise

sitāre tarah siine meñ dil Duubā kiyā lekin

shab-e-ġham ke añdhere se nahīñ māñgī sahar ham ne

sitare ki tarah sine mein dil Duba kiya lekin

shab-e-gham ke andhere se nahin mangi sahar hum ne

nigāh-e-mehr kahāñ vo barhamī bhī ga.ī

maiñ dostī ko jo royā to dushmanī bhī ga.ī

nigah-e-mehr kahan ki wo barhami bhi gai

main dosti ko jo roya to dushmani bhi gai

mahv yuuñ ho ga.e alfāz-e-duā vaqt-e-duā

haath se zarf-e-talab chhūT gayā ho jaise

mahw yun ho gae alfaz-e-dua waqt-e-dua

hath se zarf-e-talab chhuT gaya ho jaise

dil ne siine meñ kuchh qarār liyā

jab tujhe ḳhuub pukār liyā

dil ne sine mein kuchh qarar liya

jab tujhe KHub sa pukar liya

mai-ḳhāna-e-hastī meñ saaqī ham donoñ mujrim haiñ shāyad

ḳhum ne bachā ke rakkhe the paimāne maiñ ne toḌe haiñ

mai-KHana-e-hasti mein saqi hum donon hi mujrim hain shayad

KHum tu ne bacha ke rakkhe the paimane main ne toDe hain

māl-o-zar ahl-e-duval sāmne yuuñ ginte haiñ

ham faqīroñ ne na kuchh sarf kiyā ho jaise

mal-o-zar ahl-e-duwal samne yun ginte hain

hum faqiron ne na kuchh sarf kiya ho jaise

nazar se dekh to saaqī ik ā.īna banāyā hai

shikasta shīsha-o-sāġhar ke TukḌe joḌ kar ham ne

nazar se dekh to saqi ek aaina banaya hai

shikasta shisha-o-saghar ke TukDe joD kar hum ne

bahār-e-gulistāñ ham ko na pahchāne ta.ajjub hai

guloñ ke ruḳh pe chhiḌkā hai bahut ḳhūn-e-jigar ham ne

bahaar-e-gulistan hum ko na pahchane tajjub hai

gulon ke ruKH pe chhiDka hai bahut KHun-e-jigar hum ne

aaj bhī hai vahī maqām aaj bhī lab pe un naam

manzil-e-be-shumār-gām apne safar ko kyā karūñ

aaj bhi hai wahi maqam aaj bhi lab pe un ka nam

manzil-e-be-shumar-gam apne safar ko kya karun

dhuāñ detā hai dāmān-e-mohabbat

in āñkhoñ se koī aañsū girā hai

dhuan deta hai daman-e-mohabbat

in aankhon se koi aansu gira hai

miT chuke jo bhī the tauba-shikanī ke asbāb

ab na mai-ḳhāna na paimāna na shīsha na subū

miT chuke jo bhi the tauba-shikani ke asbab

ab na mai-KHana na paimana na shisha na subu

zindāñ meñ āchānak hai ye kyā shor-e-salāsil

ye 'sālik'-e-bebāk mātam to nahīñ hai

zindan mein aachanak hai ye kya shor-e-salasil

ye 'salik'-e-bebak ka matam to nahin hai

nigāh-e-shauq se lākhoñ banā Daale haiñ dar ham ne

qafas meñ bhī nahīñ maanī shikaste-bāl-o-par ham ne

nigah-e-shauq se lakhon bana Dale hain dar hum ne

qafas mein bhi nahin mani shikaste-baal-o-par hum ne

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now