Zeeshan Sahil
Ghazal 14
Nazm 131
Sher-o-Shayari 13
ab to ye shāyad kisī bhī kaam aa saktā nahīñ
aap hī le jā.iye mere dil-e-nādān ko
ab to ye shayad kisi bhi kaam aa sakta nahin
aap hi le jaiye mere dil-e-nadan ko
-
Share this
- See Ghazal
guzar ga.ī hai magar roz yaad aatī hai
vo ek shaam jise bhūlne kī hasrat hai
guzar gai hai magar roz yaad aati hai
wo ek sham jise bhulne ki hasrat hai
-
Share this
- See Ghazal
jo vo nahīñ thā to maiñ muttafiq thā logoñ se
vo mere sāmne aayā to iḳhtilāf kiyā
jo wo nahin tha to main muttafiq tha logon se
wo mere samne aaya to iKHtilaf kiya
-
Share this
- See Ghazal
maiñ zindagī ke sabhī ġham bhulā.e baiThā huuñ
tumhāre ishq se kitnī mujhe sahūlat hai
main zindagi ke sabhi gham bhulae baiTha hun
tumhaare ishq se kitni mujhe sahulat hai
-
Share this
- See Ghazal
vo dāstān mukammal kare to achchhā hai
mujhe milā hai zarā sā sirā kahānī kā
wo dastan mukammal kare to achchha hai
mujhe mila hai zara sa sira kahani ka
-
Share this
- See Ghazal
Nasri Nazm 3
BOOKS 10
Image Shayari 4
kis qadar mahduud kar detaa hai Gam insaan ko KHatm kar detaa hai har ummiid har imkaan ko giit gaataa bhii nahii.n ghar ko sajaataa bhii nahii.n aur badaltaa bhii nahii.n vo saaz ko saamaan ko itne barso.n kii riyaazat se jo qaa.em ho sakaa aap se KHatra bahut hai mere is iimaan ko ko.ii ruktaa hii nahii.n is kii tasallii ke liye dekhtaa rahtaa hai dil har ajnabii mehmaan ko ab to ye shaayad kisii bhii kaam aa saktaa nahii.n aap hii le jaa.iye mere dil-e-naadaan ko shahr vaalo.n ko to jaise kuchh pataa chaltaa nahii.n roktaa rahtaa hai saahil roz-o-shab tuufaan ko