Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Abbas Qamar's Photo'

Abbas Qamar

1994 | Delhi, India

Prominent among the new generation poets

Prominent among the new generation poets

Sher of Abbas Qamar

inheñ āñkhoñ ne bedardī se be-ghar kar diyā hai

ye aañsū qahqaha banñe koshish kar rahe the

inhen aankhon ne bedardi se be-ghar kar diya hai

ye aansu qahqaha banne ki koshish kar rahe the

hālat-e-hāl se begāna banā rakkhā hai

ḳhud ko maazī nihāñ-ḳhāna banā rakkhā hai

haalat-e-haal se begana bana rakkha hai

KHud ko mazi ka nihan-KHana bana rakkha hai

ham haiñ asīr-e-zabt ijāzat nahīñ hameñ

ro rahe haiñ aap badhā.ī hai roiye

hum hain asir-e-zabt ijazat nahin hamein

ro pa rahe hain aap badhai hai roiye

ḳhamoshī kah rahī hai ab ye do-ābā ravāñ hogā

havā chup ho to bārish ke shadīd āsār hote haiñ

KHamoshi kah rahi hai ab ye do-aba rawan hoga

hawa chup ho to barish ke shadid aasar hote hain

mere kamre meñ udāsī hai qayāmat magar

ek tasvīr purānī hañsā kartī hai

mere kamre mein udasi hai qayamat ki magar

ek taswir purani si hansa karti hai

ashkoñ ko ārzū-e-rihā.ī hai roiye

āñkhoñ ab isī meñ bhalā.ī hai roiye

ashkon ko aarzu-e-rihai hai roiye

aankhon ki ab isi mein bhalai hai roiye

ḳhush haiñ to phir musāfir-e-duniyā nahīñ haiñ aap

is dasht meñ bas ābla-pā.ī hai roiye

KHush hain to phir musafir-e-duniya nahin hain aap

is dasht mein bas aabla-pai hai roiye

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now