Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Abdul Aziz Khalid's Photo'

Abdul Aziz Khalid

1927 - 2010 | Pakistan

Prominent Pakistani poet and translator; translated select works from world literature including Tagore’s Gitanjali

Prominent Pakistani poet and translator; translated select works from world literature including Tagore’s Gitanjali

Sher of Abdul Aziz Khalid

841
Favorite

SORT BY

kis ko nahīñ kotāhī-e-qismat shikāyat

kis ko gila-e-gardish-e-ayyām nahīñ hai

kis ko nahin kotahi-e-qismat ki shikayat

kis ko gila-e-gardish-e-ayyam nahin hai

jaan sarfa ho to ho lekin

sarf karne se ilm baḌhtā hai

jaan ka sarfa ho to ho lekin

sarf karne se ilm baDhta hai

maiñ faqat ek ḳhvāb thā terā

ḳhvāb ko kaun yaad rakhtā hai

main faqat ek KHwab tha tera

KHwab ko kaun yaad rakhta hai

parakhne vaale parkheñge isī me.aar par ham ko

jahāñ se kyā liyā ham ne jahāñ ko kyā diyā ham ne

parakhne wale parkhenge isi mear par hum ko

jahan se kya liya hum ne jahan ko kya diya hum ne

chhilkoñ ke haiñ ambār magar maġhz nadārat

duniyā meñ musalmāñ to haiñ islām nahīñ hai

chhilkon ke hain ambar magar maghz nadarat

duniya mein musalman to hain islam nahin hai

maġhrib mujhe khīñche hai to roke mujhe mashriq

dhobī vo kuttā huuñ ki jo ghaaT na ghar

maghrib mujhe khinche hai to roke mujhe mashriq

dhobi ka wo kutta hun ki jo ghaT na ghar ka

har chiiz hotī hai koī āḳhirī had bhī

kyā koī bigāḌegā kisī ḳhāk-basar

har chiz ki hoti hai koi aaKHiri had bhi

kya koi bigaDega kisi KHak-basar ka

kaun mar kar dobāra zinda huā

kaun mulk-e-fanā se lauTā hai

kaun mar kar dobara zinda hua

kaun mulk-e-fana se lauTa hai

qurb nas nas meñ aag bhartā hai

vasl se iztirāb baḌhtā hai

qurb nas nas mein aag bharta hai

wasl se iztirab baDhta hai

ab āsmāñ se sahīfe nahīñ utarte magar

khulā huā hai dar-e-ijtihād sab ke liye

ab aasman se sahife nahin utarte magar

khula hua hai dar-e-ijtihad sab ke liye

zamīñ-nazhād haiñ lekin zamāñ meñ rahte haiñ

makāñ nasīb nahīñ lā-makāñ meñ rahte haiñ

zamin-nazhad hain lekin zaman mein rahte hain

makan nasib nahin la-makan mein rahte hain

shahīdān-e-vafā manqabat likhte rahe lekin

na arzī ḳhudāoñ kabhī hamd-o-sanā ham ne

shahidan-e-wafa ki manqabat likhte rahe lekin

na ki arzi KHudaon ki kabhi hamd-o-sana hum ne

na.ī mohabbateñ 'ḳhālid' purānī dostiyāñ

azāb-e-kashmakash-e-be-amāñ meñ rahte haiñ

nai mohabbaten 'KHalid' purani dostiyan

azab-e-kashmakash-e-be-aman mein rahte hain

har baat hai 'ḳhālid' zamāne se nirālī

bāshinda hai shāyad kisī duniyā-e-digar

har baat hai 'KHalid' ki zamane se nirali

bashinda hai shayad kisi duniya-e-digar ka

pursān-e-pareshānī-e-insāñ nahīñ koī

qismat girah nāḳhun-e-tadbīr se kholo

pursan-e-pareshani-e-insan nahin koi

qismat ki girah naKHun-e-tadbir se kholo

koī tanhā.ī gosha koī kunj-e-āfiyat

āshiq-o-māshūq yakjā hoñ kahāñ ai āsmāñ

koi tanhai ka gosha koi kunj-e-afiyat

aashiq-o-mashuq yakja hon kahan ai aasman

vārā-e-farra-e-farhañg dekho rañg-e-suḳhan

abul-kalām nahīñ maiñ abul-ma.ānī huuñ

wara-e-farra-e-farhang dekho rang-e-suKHan

abul-kalam nahin main abul-maani hun

qāsid ye zabāñ us bayāñ us nahīñ hai

dhokā hai tujhe us ne kahā aur kuchh hai

qasid ye zaban us ki bayan us ka nahin hai

dhoka hai tujhe us ne kaha aur hi kuchh hai

ai muhibbo rāh-e-ulfat meñ har ik shai hai mabāh

kis ne khīñchā hai ḳhat-e-hijrāñ tumhāre darmiyāñ

ai muhibbo rah-e-ulfat mein har ek shai hai mabah

kis ne khincha hai KHat-e-hijran tumhaare darmiyan

Recitation

Speak Now