Sher of Ahmad Alvi
sunā ye hai banā karte haiñ joḌe āsmānoñ par
to ye samjheñ ki har biivī balā-e-āsmānī hai
suna ye hai bana karte hain joDe aasmanon par
to ye samjhen ki har biwi bala-e-asmani hai
alfāz kī adā.egī tarz-e-bayān siikh
karnā agar hai ishq to urdu zabān siikh
alfaz ki adaegi tarz-e-bayan sikh
karna agar hai ishq to urdu zaban sikh
do sagī bahnoñ kī do gañjoñ se shādī ho ga.ī
aur ye be-zulf bhī ham-zulf kahlāne lage
do sagi bahnon ki do ganjon se shadi ho gai
aur ye be-zulf bhi ham-zulf kahlane lage
dil ko kisī kī yaad se ḳhālī na kījiye
aaseb rahne lagte haiñ ḳhālī makān meñ
dil ko kisi ki yaad se KHali na kijiye
aaseb rahne lagte hain KHali makan mein
mohabbatoñ meñ to kuchh bhī patā nahīñ lagtā
bahut burā hai vo phir bhī burā nahīñ lagtā
mohabbaton mein to kuchh bhi pata nahin lagta
bahut bura hai wo phir bhi bura nahin lagta
ta'alluqāt bhī resham kī tarah hote haiñ
ulajh ga.e to sirā umr bhar nahīñ miltā
ta'alluqat bhi resham ki tarah hote hain
ulajh gae to sira umr bhar nahin milta