Akhtar Ansari
Ghazal 45
Sher-o-Shayari 27
haañ kabhī ḳhvāb-e-ishq dekhā thā
ab tak āñkhoñ se ḳhuuñ Tapaktā hai
han kabhi KHwab-e-ishq dekha tha
ab tak aankhon se KHun Tapakta hai
-
Share this
- See Ghazal
us se pūchhe koī chāhat ke maze
jis ne chāhā aur jo chāhā gayā
us se puchhe koi chahat ke maze
jis ne chaha aur jo chaha gaya
-
Share this
- See Ghazal
ro.e baġhair chāra na rone kī taab hai
kyā chiiz uf ye kaifiyat-e-iztirāb hai
roe baghair chaara na rone ki tab hai
kya chiz uf ye kaifiyat-e-iztirab hai
-
Share this
- See Ghazal
jab se muñh ko lag ga.ī 'aḳhtar' mohabbat kī sharāb
be-piye āThoñ pahar madhosh rahnā aa gayā
jab se munh ko lag gai 'aKHtar' mohabbat ki sharab
be-piye aaThon pahar madhosh rahna aa gaya
-
Share this
- See Ghazal
Qita 74
Rubai 24
BOOKS 44
Image Shayari 3
ab kahaa.n huu.n kahaa.n nahii.n huu.n mai.n jis jagah huu.n vahaa.n nahii.n huu.n mai.n kaun aavaaz de rahaa hai mujhe? ko.ii kah do yahaa.n nahii.n huu.n mai.n