Sher of Alqama Shibli
gum rahoge kab tak apnī zaat hī meñ
zindagī se bhī kabhī āñkheñ milāo
gum rahoge kab tak apni zat hi mein
zindagi se bhi kabhi aankhen milao
ye kyā ki faqat apnī hī tasvīr banāo
ai naqsh-garo vus.at-e-fan kuchh to dikhāo
ye kya ki faqat apni hi taswir banao
ai naqsh-garo wusat-e-fan kuchh to dikhao
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kyuuñ laġhzish-e-pā merī malāmat kā hadaf hai
jiine kā salīqa mujhe baḳhshā hai isī ne
kyun laghzish-e-pa meri malamat ka hadaf hai
jine ka saliqa mujhe baKHsha hai isi ne
us manzil-e-hayāt meñ ab gāmzan hai dil
'shiblī'! jahāñ kisī kī bhī āvāz-e-pā nahīñ
us manzil-e-hayat mein ab gamzan hai dil
'shibli'! jahan kisi ki bhi aawaz-e-pa nahin