Sher of Arman Najmi
ghuTan se bach ke kahīñ saañs le nahīñ sakte
jahāñ bhī jaa.eñ ye kaalā dhuāñ to sar par hai
ghuTan se bach ke kahin sans le nahin sakte
jahan bhi jaen ye kala dhuan to sar par hai
huā hai qarya-e-jāñ meñ ye sāneha kaisā
mire vajūd ke andar hai zalzala kaisā
hua hai qarya-e-jaan mein ye saneha kaisa
mere wajud ke andar hai zalzala kaisa
'armāñ' bas ek lazzat-e-iz.hār ke sivā
miltā hai kyā ḳhayāl ko lafzoñ meñ Dhaal kar
'arman' bas ek lazzat-e-izhaar ke siwa
milta hai kya KHayal ko lafzon mein Dhaal kar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bachā kyā rah gayā kālak bhare jhulse makānoñ meñ
ujāḌī bastiyoñ kī be-nishānī kā tamāshā kar
bacha kya rah gaya kalak bhare jhulse makanon mein
ujaDi bastiyon ki be-nishani ka tamasha kar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download