Bashar Nawaz
Ghazal 19
Nazm 15
Sher-o-Shayari 12
pyaar ke bandhan ḳhuun ke rishte TuuT ga.e ḳhvāboñ kī tarah
jāgtī āñkheñ dekh rahī thiiñ kyā kyā kārobār hue
pyar ke bandhan KHun ke rishte TuT gae KHwabon ki tarah
jagti aankhen dekh rahi thin kya kya karobar hue
-
Share this
- See Ghazal
kahte kahte kuchh badal detā hai kyuuñ bātoñ kā ruḳh
kyuuñ ḳhud apne-āp ke bhī saath vo sachchā nahīñ
kahte kahte kuchh badal deta hai kyun baaton ka ruKH
kyun KHud apne-ap ke bhi sath wo sachcha nahin
-
Share this
- See Ghazal
jaane kin rishtoñ ne mujh ko bāñdh rakkhā hai ki maiñ
muddatoñ se āñdhiyoñ kī zad meñ huuñ bikhrā nahīñ
jaane kin rishton ne mujh ko bandh rakkha hai ki main
muddaton se aandhiyon ki zad mein hun bikhra nahin
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 3
chup-chaap sulagtaa hai diyaa tum bhii to dekho kis dard ko kahte hai.n vafaa tum bhii to dekho mahtaab-ba-kaf raat kase Dhuu.nD rahii hai kuchh duur chalo aa.o zaraa tum bhii to dekho kis tarah kinaaro.n ko hai siine se lagaa.e Thahre hu.e paanii kii adaa tum bhii to dekho yaado.n ke saman-zaar se aa.ii hu.ii KHushbuu daaman me.n chhupaa laa.ii hai kyaa tum bhii to dekho kuchh raat ga.e roz jo aatii hai fazaa se har dil me.n hai ik zaKHm chhupaa tum bhii to dekho har ha.nste hu.e phuul se rishta hai KHizaa.n kaa har dil me.n hai ik zaKHm chhupaa tum bhii to dekho kyuu.n aane lagii.n saa.ns me.n gahraa.iyaa.n socho kyuu.n TuuT chale band-e-qabaa tum bhii to dekho