Sher of Hamidullah Afsar
tāroñ kā go shumār meñ aanā muhāl hai
lekin kisī ko niiñd na aa.e to kyā kare
taron ka go shumar mein aana muhaal hai
lekin kisi ko nind na aae to kya kare
dukh meñ sukh meñ har hālat meñ bhārat dil kā sahārā hai
bhārat pyārā desh hamārā sab deshoñ se pyārā hai
dukh mein sukh mein har haalat mein bhaarat dil ka sahaara hai
bhaarat pyara desh hamara sab deshon se pyara hai
-
Tag : Deshbhakti
hai tere liye saarā jahāñ husn se ḳhālī
ḳhud husn agar terī nigāhoñ meñ nahīñ hai
hai tere liye sara jahan husn se KHali
KHud husn agar teri nigahon mein nahin hai
sukh meñ hotā hai hāfiza bekār
dukh meñ allāh yaad aatā hai
sukh mein hota hai hafiza bekar
dukh mein allah yaad aata hai
mujhe fardā kī fikr kyūñ-kar ho
ġham-e-imroz khaa.e jaatā hai
mujhe farda ki fikr kyun-kar ho
gham-e-imroz khae jata hai
haa.e vo jis kī ummīdeñ hoñ ḳhizāñ par mauqūf
shāḳh-e-gul suukh ke gir jaa.e to kāshāna bane
alas the one whose aspirations do on autumn rest
when the leaves dry off and fall, they would make their nest
hae wo jis ki ummiden hon KHizan par mauquf
shaKH-e-gul sukh ke gir jae to kashana bane
alas the one whose aspirations do on autumn rest
when the leaves dry off and fall, they would make their nest
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
jab safar 'afsar' kabhī karte nahīñ
dekhe phir kyuuñ ho tum manzil ke ḳhvāb
jab safar 'afsar' kabhi karte nahin
dekhe phir kyun ho tum manzil ke KHwab