Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Iftikhar Aazmi's Photo'

Iftikhar Aazmi

1935 - 1977

Sher of Iftikhar Aazmi

husn yuuñ ishq se nārāz hai ab

phuul ḳhushbū se ḳhafā ho jaise

husn yun ishq se naraaz hai ab

phul KHushbu se KHafa ho jaise

ajab tanāv hai māhaul meñ kaheñ kis se

kahīñ pe aaj koī hādsa huā to nahīñ

ajab tanaw hai mahaul mein kahen kis se

kahin pe aaj koi hadsa hua to nahin

kitnā sunsān hai rasta dil

qāfila koī luTā ho jaise

kitna sunsan hai rasta dil ka

qafila koi luTa ho jaise

shor-e-dariyā-e-vafā-e-ishrat ishrat-e-sāhil ke qarīb

ruk ga.e apne qadam aa.e jo manzil ke qarīb

shor-e-dariya-e-wafa-e-ishrat ishrat-e-sahil ke qarib

ruk gae apne qadam aae jo manzil ke qarib

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now