Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Imam Azam's Photo'

Imam Azam

1960 - 2023 | Kolkata, India

Poet, Critic, Journalist and honorary editor of literary magazine "Tmseel-e-Nau"

Poet, Critic, Journalist and honorary editor of literary magazine "Tmseel-e-Nau"

Sher of Imam Azam

712
Favorite

SORT BY

terī ḳhushbū se mo.attar hai zamāna saarā

kaise mumkin hai vo ḳhushbū bhī gulāboñ meñ mile

teri KHushbu se moattar hai zamana sara

kaise mumkin hai wo KHushbu bhi gulabon mein mile

duniyā ik riit purānī, milnā aur bichhaḌnā hai

ek zamāna biit gayā hai tum kab milne aaoge

duniya ki ek rit purani, milna aur bichhaDna hai

ek zamana bit gaya hai tum kab milne aaoge

āsthā rañg aa jaa.e agar māhaul meñ

ek rākhī zindagī ruḳh badal saktī hai aaj

aastha ka rang aa jae agar mahaul mein

ek rakhi zindagi ka ruKH badal sakti hai aaj

kisī baat koī bad-gumāñ na samjhegā

zamīñ dard kabhī āsmāñ na samjhegā

kisi ki baat koi bad-guman na samjhega

zamin ka dard kabhi aasman na samjhega

gesū o ruḳhsār bāteñ kareñ

aao mil kar pyaar bāteñ kareñ

gesu o ruKHsar ki baaten karen

aao mil kar pyar ki baaten karen

har taraf ik jañg māhaul hai 'āzam' yahāñ

aadmī ab ghar ke bhī andar salāmat hai kahāñ

har taraf ek jang ka mahaul hai 'azam' yahan

aadmi ab ghar ke bhi andar salamat hai kahan

un ke ruḳhsat vo lamha mujhe yuuñ lagtā hai

vaqt nārāz huā din bhī Dhalā ho jaise

un ke ruKHsat ka wo lamha mujhe yun lagta hai

waqt naraaz hua din bhi Dhala ho jaise

jo maze aaj tire ġham ke azāboñ meñ mile

aisī lazzat kahāñ saaqī sharāboñ meñ mile

jo maze aaj tere gham ke azabon mein mile

aisi lazzat kahan saqi ki sharabon mein mile

sankaT ke din the to saa.e bhī mujh se katrāte the

sukh ke din aa.e to dekho duniyā mere saath huī

sankaT ke din the to sae bhi mujh se katraate the

sukh ke din aae to dekho duniya mere sath hui

mausam sūkhā sūkhā thā lekin ye kyā baat huī

keval us ke kamre meñ raat ga.e barsāt huī

mausam sukha sukha sa tha lekin ye kya baat hui

kewal us ke kamre mein hi raat gae barsat hui

Recitation

Speak Now