TOP 20 SHAYARI of Imdad Ali Bahr
āñkheñ na jiine deñgī tirī be-vafā mujhe
kyuuñ khiḌkiyoñ se jhāñk rahī hai qazā mujhe
aankhen na jine dengi teri be-wafa mujhe
kyun khiDkiyon se jhank rahi hai qaza mujhe
ham na kahte the hañsī achchhī nahīñ
aa ga.ī āḳhir rukāvaT dekhiye
hum na kahte the hansi achchhi nahin
aa gai aaKHir rukawaT dekhiye
banāvaT vaz.a-dārī meñ ho yā be-sāḳhta-pan meñ
hameñ andāz vo bhātā hai jis meñ kuchh adā nikle
banawaT waza-dari mein ho ya be-saKHta-pan mein
hamein andaz wo bhata hai jis mein kuchh ada nikle
mujh ko rone to do dikhā dūñgā
bulbulā hai ye āsmān nahīñ
mujh ko rone to do dikha dunga
bulbula hai ye aasman nahin
ḳhvāhish-e-dīdār meñ āñkheñ bhī haiñ merī raqīb
saat pardoñ meñ chhupā rakkhā hai us ke nuur ko
KHwahish-e-didar mein aankhen bhi hain meri raqib
sat pardon mein chhupa rakkha hai us ke nur ko
kausar kā jaam us ko ilāhī nasīb ho
koī sharāb merī lahad par chhiḌak gayā
kausar ka jam us ko ilahi nasib ho
koi sharab meri lahad par chhiDak gaya
juutā nayā pahan ke vo panjoñ ke bal chale
kapḌe badal ke jaame se bāhar nikal chale
juta naya pahan ke wo panjon ke bal chale
kapDe badal ke jame se bahar nikal chale
zāhid sunā.ūñ vasf jo apnī sharāb ke
paḌhne lageñ darūd farishte savāb ke
zahid sunaun wasf jo apni sharab ke
paDhne lagen darud farishte sawab ke
kāfir-e-ishq huuñ maiñ sab se mohabbat hai mujhe
ek but kyā ki samāyā hai kalīsā dil meñ
kafir-e-ishq hun main sab se mohabbat hai mujhe
ek but kya ki samaya hai kalisa dil mein
kisī ne ka.aba banāyā kisī ne but-ḳhāna
banā na ek gharauñdā tumhāre ghar kī tarah
kisi ne kaba banaya kisi ne but-KHana
bana na ek gharaunda tumhaare ghar ki tarah
dīvāngī meñ pheñk rahe the jo ham libās
utrī qabā buḳhār badan se utar gayā
diwangi mein phenk rahe the jo hum libas
utri qaba buKHar badan se utar gaya
bhaTak ke koī gayā dair ko koī ka.abe
ajiib bhūl-bhulayyāñ hai marhala dil kā
bhaTak ke koi gaya dair ko koi kabe
ajib bhul-bhulayyan hai marhala dil ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
duniyā meñ 'bahr' kaun ibādat-guzār hai
saum-o-salāt dāḳhil-e-rasm-o-rivāj hai
duniya mein 'bahr' kaun ibaadat-guzar hai
saum-o-salat daKHil-e-rasm-o-riwaj hai
be-tarah dil meñ bharā rahtā hai zulfoñ kā dhuāñ
dam nikal jaa.e kisī roz na ghuT kar apnā
be-tarah dil mein bhara rahta hai zulfon ka dhuan
dam nikal jae kisi roz na ghuT kar apna
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
merā dil kis ne liyā naam batā.ūñ kis kā
maiñ huuñ yā aap haiñ ghar meñ koī aayā na gayā
mera dil kis ne liya nam bataun kis ka
main hun ya aap hain ghar mein koi aaya na gaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
uñgliyāñ tū ne jo ai rashk-e-chaman chaTkā.īñ
mujh ko ġhunchoñ ke chaTakne kī sadā.eñ aa.iiñ
ungliyan tu ne jo ai rashk-e-chaman chaTkain
mujh ko ghunchon ke chaTakne ki sadaen aain
abr-e-bahār ab bhī jachtā nahīñ nazar meñ
kuchh āñsuoñ ke qatre ab bhī haiñ chashm-e-tar meñ
abr-e-bahaar ab bhi jachta nahin nazar mein
kuchh aansuon ke qatre ab bhi hain chashm-e-tar mein
ratb-o-yābis meñ hai tasarruf-e-ishq
aañkh dariyā hai dil jazīra hai
ratb-o-yabis mein hai tasarruf-e-ishq
aankh dariya hai dil jazira hai
muddat se iltifāt mire haal par nahīñ
kuchh to kajī hai dil meñ ki sīdhī nazar nahīñ
muddat se iltifat mere haal par nahin
kuchh to kaji hai dil mein ki sidhi nazar nahin
talāsh-e-yār meñ gardish ko maiñ tauf-e-haram samjhūñ
karūñ chāroñ-taraf sajde ki vo har-sū nikalte haiñ
talash-e-yar mein gardish ko main tauf-e-haram samjhun
karun chaaron-taraf sajde ki wo har-su nikalte hain