Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Jagan Nath Azad's Photo'

Jagan Nath Azad

1918 - 2004 | Delhi, India

Renowned Urdu scholar famous for his works on Iqbal. Wrote the first National Anthem of Pakistan.

Renowned Urdu scholar famous for his works on Iqbal. Wrote the first National Anthem of Pakistan.

Sher of Jagan Nath Azad

4.5K
Favorite

SORT BY

kināre se tūfāñ tamāshā dekhne vaale

kināre se kabhī andāza-e-tūfāñ nahīñ hotā

kinare hi se tufan ka tamasha dekhne wale

kinare se kabhi andaza-e-tufan nahin hota

ibtidā ye thī ki maiñ thā aur da.avā ilm

intihā ye hai ki is da.ave pe sharmāyā bahut

ibtida ye thi ki main tha aur dawa ilm ka

intiha ye hai ki is dawe pe sharmaya bahut

niiñd kyā hai zarā der maut

maut kyā kyā hai tamām umr niiñd

nind kya hai zara si der ki maut

maut kya kya hai tamam umr ki nind

ham ne burā bhalā sahī kaam to kiyā

tum ko to e'tirāz karne shauq thā

hum ne bura bhala hi sahi kaam to kiya

tum ko to e'tiraaz hi karne ka shauq tha

sukūn-e-dil jahān-e-besh-o-kam meñ DhūñDne vaale

yahāñ har chiiz miltī hai sukūn-e-dil nahīñ miltā

sukun-e-dil jahan-e-besh-o-kam mein DhunDne wale

yahan har chiz milti hai sukun-e-dil nahin milta

maiñ kyā karūñ ki zabt-e-tamannā ke bāvajūd

be-iḳhtiyār lab pe tirā naam aa gayā

main kya karun ki zabt-e-tamanna ke bawajud

be-iKHtiyar lab pe tera nam aa gaya

DhūñDhne par bhī na miltā thā mujhe apnā vajūd

maiñ talāsh-e-dost meñ yuuñ be-nishāñ thā dosto

DhunDhne par bhi na milta tha mujhe apna wajud

main talash-e-dost mein yun be-nishan tha dosto

allāh re be-ḳhudī ki tire ghar ke ās-pās

har dar pe sadā tire dar ke ḳhayāl meñ

allah re be-KHudi ki tere ghar ke aas-pas

har dar pe di sada tere dar ke KHayal mein

bahār aa.ī hai aur merī nigāheñ kaañp uTThīñ haiñ

yahī tevar the mausam ke jab ujḌā thā chaman apnā

bahaar aai hai aur meri nigahen kanp uTThin hain

yahi tewar the mausam ke jab ujDa tha chaman apna

bahār aate Takrāne lage kyuuñ sāġhar o miinā

batā ai pīr-e-mai-ḳhāna ye mai-ḳhānoñ pe kyā guzrī

bahaar aate hi Takrane lage kyun saghar o mina

bata ai pir-e-mai-KHana ye mai-KHanon pe kya guzri

tumheñ kuchh is ḳhabar bhī hai ai chaman vaalo

sahar ke ba.ad nasīm-e-sahar pe kyā guzrī

tumhein kuchh is ki KHabar bhi hai ai chaman walo

sahar ke baad nasim-e-sahar pe kya guzri

is se ziyāda daur-e-junūñ ḳhabar nahīñ

kuchh be-ḳhabar se aap the kuchh be-ḳhabar se ham

is se ziyaada daur-e-junun ki KHabar nahin

kuchh be-KHabar se aap the kuchh be-KHabar se hum

ik baar agar qafas havā raas aa ga.ī

ai ḳhud-fareb phir havas-e-bāl-o-par kahāñ

ek bar agar qafas ki hawa ras aa gai

ai KHud-fareb phir hawas-e-baal-o-par kahan

chalte rahe ham tund havāoñ ke muqābil

'āzād' charāġh-e-tah-e-dāmāñ na rahe ham

chalte rahe hum tund hawaon ke muqabil

'azad' charagh-e-tah-e-daman na rahe hum

maiñ dil meñ un yaad ke tūfāñ ko paal kar

laayā huuñ ek mauj-e-taġhazzul nikāl kar

TRANSLATION

A tempest of her memory, I reared in my heart,

And extacted a lyrical wave for poetry to start.

Sagar Akbarabadi

main dil mein un ki yaad ke tufan ko pal kar

laya hun ek mauj-e-taghazzul nikal kar

TRANSLATION

A tempest of her memory, I reared in my heart,

And extacted a lyrical wave for poetry to start.

Sagar Akbarabadi

tirī duurī mujh ko ġham nahīñ hai

ki furqat meñ bhī lazzat kam nahīñ hai

teri duri ka mujh ko gham nahin hai

ki furqat mein bhi lazzat kam nahin hai

asl meñ ham the tumhāre saath mahv-e-guftugū

jab ḳhud apne aap se ham guftugū karte rahe

asl mein hum the tumhaare sath mahw-e-guftugu

jab KHud apne aap se hum guftugu karte rahe

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now