Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Jameel Yusuf's Photo'

Jameel Yusuf

1939 | Pakistan

Jameel Yusuf

Ghazal 19

Sher-o-Shayari 6

ai ḳhudā be-misāl nahīñ

maiñ bhī huuñ kā.enāt meñ tanhā

ai KHuda tu hi be-misal nahin

main bhi hun kaenat mein tanha

dil jahāñ le jaa.e dil ke saath jaanā chāhiye

is se baḌh kar aur koī rahnumā hotā nahīñ

dil jahan le jae dil ke sath jaana chahiye

is se baDh kar aur koi rahnuma hota nahin

terī duniyā meñ tire husn shaidā.ī huuñ

ai ḳhudā mujh ko gunahgār na samjhā jaa.e

teri duniya mein tere husn ka shaidai hun

ai KHuda mujh ko gunahgar na samjha jae

terī duurī bhī hai mushkil tirī qurbat bhī muhāl

kis qadar ne mirī jaan satāyā hai mujhe

teri duri bhi hai mushkil teri qurbat bhi muhaal

kis qadar tu ne meri jaan sataya hai mujhe

mirī raah meñ kyuuñ haa.il hai

ek umDe hue dariyā tarah

tu meri rah mein kyun hail hai

ek umDe hue dariya ki tarah

BOOKS 6

 

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now