Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mahender Kumar Sani's Photo'

Mahender Kumar Sani

1984 | Panchkula, India

One of the most prominent poets of younger generation. Also a promising critic.

One of the most prominent poets of younger generation. Also a promising critic.

Sher of Mahender Kumar Sani

1.1K
Favorite

SORT BY

tirā vajūd tire rāste meñ haa.il hai

yahīñ se ho ke mirā qāfila guzartā hai

tera wajud tere raste mein hail hai

yahin se ho ke mera qafila guzarta hai

use maiñ duur se dekhtā rahā 'sānī'

jo aaj paanī meñ utrā huuñ to khulā dariyā

use main dur hi se dekhta raha 'sani'

jo aaj pani mein utra hun to khula dariya

daraḳht-e-zard meñ jaise harā rahtā hai

vo Thiik usī tarah mujhī meñ bharā rahtā hai

daraKHt-e-zard mein jaise hara sa rahta hai

wo Thik usi tarah mujhi mein bhara sa rahta hai

raushnī meñ lafz ke tahlīl ho jaane se qabl

ik ḳhalā paḌtā hai jis meñ ghūmtā rahtā huuñ maiñ

raushni mein lafz ke tahlil ho jaane se qabl

ek KHala paDta hai jis mein ghumta rahta hun main

tujhe raushnī se judā karūñ kisī shaam maiñ

tujhe itnī taab meñ dekhnā nahīñ ho rahā

tujhe raushni se juda karun kisi sham main

tujhe itni tab mein dekhna nahin ho raha

ho rahā huuñ tire dukh meñ tahlīl

apne har dard se kaTtā jā.ūñ

ho raha hun tere dukh mein tahlil

apne har dard se kaTta jaun

maiñ tanhā.ī ko apnā ham-safar kyā maan baiThā

mujhe lagtā hai mere saath duniyā chal rahī hai

main tanhai ko apna ham-safar kya man baiTha

mujhe lagta hai mere sath duniya chal rahi hai

dīvār o dar ne rañgoñ se dāman chhuḌā liyā

yak-rañgi-e-sukūt se kyuuñ ghar niDhāl hai

diwar o dar ne rangon se daman chhuDa liya

yak-rangi-e-sukut se kyun ghar niDhaal hai

isī duniyā meñ hai vo dūsrī duniyā 'sānī'

log jis ke liye jangal taraf jaate haiñ

isi duniya mein hai wo dusri duniya 'sani'

log jis ke liye jangal ki taraf jate hain

dīvār-e-ḳhvāb meñ koī dar kar nahīñ sake

ham log shab se aage safar kar nahīñ sake

diwar-e-KHwab mein koi dar kar nahin sake

hum log shab se aage safar kar nahin sake

maiñ apnī yātrā par rahā huuñ

mujhe ab lauT kar aanā nahīñ hai

main apni yatra par ja raha hun

mujhe ab lauT kar aana nahin hai

kahāñ aap ko bhī gavārā thā maiñ

nahīñ jis ghaḌī tak tumhārā thā maiñ

kahan aap ko bhi gawara tha main

nahin jis ghaDi tak tumhaara tha main

maiñ din ko shab se bhalā kyuuñ alag karūñ saanī

ye tīrgī bhī to ik raushnī hissa hai

main din ko shab se bhala kyun alag karun sani

ye tirgi bhi to ek raushni ka hissa hai

raat din gardish meñ haiñ lekin paḌā rahtā huuñ maiñ

kaam kyā merā yahāñ hai sochtā rahtā huuñ maiñ

TRANSLATION

Day and night are in motion, but unmoved I remain,

Who, what is mine here, I keep thinking in disdain.

Sagar Akbarabadi

raat din gardish mein hain lekin paDa rahta hun main

kaam kya mera yahan hai sochta rahta hun main

TRANSLATION

Day and night are in motion, but unmoved I remain,

Who, what is mine here, I keep thinking in disdain.

Sagar Akbarabadi

jaane kaisī raushnī thī kar ga.ī andhā mujhe

is bhayānak tīrgī meñ bhī bujhā rahtā huuñ maiñ

jaane kaisi raushni thi kar gai andha mujhe

is bhayanak tirgi mein bhi bujha rahta hun main

yaqīnan sochtā hogā vo mujh ko

use maiñ ne abhī sochā nahīñ hai

yaqinan sochta hoga wo mujh ko

use main ne abhi socha nahin hai

maiñ chāhtā huuñ ki terī taraf na dekhūñ maiñ

mirī nazar ko magar ne bāñdh rakkhā hai

main chahta hun ki teri taraf na dekhun main

meri nazar ko magar tu ne bandh rakkha hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now